and kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir
ek khiDki to khuli rakhte hawa ki KHati
Jaleel Haider Lashari
jaane kab kaun kise mar de kafir kah ke
shahr ka shahr musalman hua phirta hai
Jaleel Haider Lashari
mere wajud mein wo is tarah samo jae
jo mere pas hai sab kuchh usi ka ho jae
Jaleel Haider Lashari
tu ne dastak hi nahin di kisi darwaze par
warna khulne ko to diwar mein bhi dar the bahut
Jaleel Haider Lashari
waqt ki mauj hamein par lagati kaise
hum ne hi jism se bandhe hue patthar the bahut
Jaleel Haider Lashari
wo dil ka TuTna to koi waqia na tha
ab TuTe dil ki kirchiyon ki dhaar se bacho
Jaleel Haider Lashari