اردو हिंदी
NaKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut | Shaahi Shayari
naKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut

Ghazal

NaKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut

Jaleel Haider Lashari

;

naKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut
hum ne bhi azm ke pahne hue zewar the bahut

tu ne dastak hi nahin di kisi darwaze par
warna khulne ko to diwar mein bhi dar the bahut

uD nahin paya agarche ye faza bhi thi khuli
mere andar se mujhe jakDe hue Dar the bahut

jit tera hi muqaddar thi so tu jit gaya
warna haare hue lashkar mein sikandar the bahut

KHam thi pyas teri warna to is dasht mein bhi
ek eDi ke ragaDne pe samundar the bahut

chhin gai aankh se hairat ki teri basti mein
har ghaDi rang badalte hue manzar the bahut

waqt ki mauj hamein par lagati kaise
hum ne hi jism se bandhe hue patthar the bahut