as ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa
kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin
Ibrahim Ashk
ikhre hue the log KHud apne wajud mein
insan ki zindagi ka ajab bandobast tha
Ibrahim Ashk
chale gae to pukaregi har sada hum ko
na jaane kitni zabanon se hum bayan honge
Ibrahim Ashk
duniya bahut qarib se uTh kar chali gai
baiTha main apne ghar mein akela hi rah gaya
Ibrahim Ashk
karen salam use to koi jawab na de
ilahi itna bhi us shaKHs ko hijab na de
Ibrahim Ashk
KHud apne aap se lena tha intiqam mujhe
main apne hath ke patthar se sangsar hua
Ibrahim Ashk
kis liye katra ke jata hai musafir dam to le
aaj sukha peD hun kal tera saya main hi tha
Ibrahim Ashk
koi bharosa nahin abr ke barasne ka
baDhegi pyas ki shiddat na aasman dekho
Ibrahim Ashk
koi to hoga jis ko mera intizar hai
kahta hai dil ke shahr-e-tamanna mein le ke chal
Ibrahim Ashk