aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua
Ibn e Insha
ahl-e-wafa se tark-e-talluq kar lo par ek baat kahen
kal tum in ko yaad karoge kal tum inhen pukaroge
Ibn e Insha
apne hamrah jo aate ho idhar se pahle
dasht paDta hai miyan ishq mein ghar se pahle
Ibn e Insha
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka
Ibn e Insha
e tere kya wahshat hum ko tujh bin kaisa sabr o sukun
tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai
Ibn e Insha
ekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath
aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho
Ibn e Insha
dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega
Ibn e Insha
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
Ibn e Insha
ek din dekhne ko aa jate
ye hawas umr bhar nahin hoti
Ibn e Insha