hum kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di
saikDon dar the meri jaan tere dar se pahle
Ibn e Insha
hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge
tu yaad rahega hamein han yaad rahega
Ibn e Insha
garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain
is baghiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho
Ibn e Insha
ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai
ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue
Ibn e Insha
ek din dekhne ko aa jate
ye hawas umr bhar nahin hoti
Ibn e Insha
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
Ibn e Insha
dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
wo to dard ka bani Thahra wo kya dard baTaega
Ibn e Insha
ekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke sath
aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jate ho
Ibn e Insha
e tere kya wahshat hum ko tujh bin kaisa sabr o sukun
tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai
Ibn e Insha