har ke nazar yar na dekha kabhi
jab gaya aankh hi bhar kar gaya
Hasrat Azimabadi
ura na mane to ek baat puchhta hun main
kisi ka dil kabhi tujh se bhi KHush hua hargiz
Hasrat Azimabadi
duniya ka wa din ka hum ko kya hosh
mast aae wa be-KHabar gae hum
Hasrat Azimabadi
gul kabhu hum ko dikhati hai kabhi sarw-o-saman
apne gul-ru bin hamein kya kya khijati hai bahaa
Hasrat Azimabadi
hum na jaanen kis taraf kaba hai aur kidhar hai dair
ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki KHaba
Hasrat Azimabadi
haq ada karna mohabbat ka bahut dushwar hai
haal bulbul ka suna dekha hai parwane ko hum
Hasrat Azimabadi
is jahan mein sifat-e-ishq se mausuf hain hum
na karo aib hamare hunar-e-zati ka
Hasrat Azimabadi
ishq mein KHwab ka KHayal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
Hasrat Azimabadi
kafir-e-ishq hun ai shaiKH pe zinhaar nahin
teri tasbih ko nisbat meri zunnar ke sath
Hasrat Azimabadi