nibhe thi aan unhon ki hamesha ishq mein KHub
tumhaare daur mein meri gada huin aankhen
Hasrat Azimabadi
na-KHalaf bas-ki uThi ishq o junun ki aulad
koi aabaad-kun-e-KHana-e-zanjir nahin
Hasrat Azimabadi
mohabbat ek tarah ki niri samajat hai
main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua
Hasrat Azimabadi
mat halak itna karo mujh ko malamat kar kar
nek-namo tumhein kya mujh se hai bad-nam se kaam
Hasrat Azimabadi
har ke nazar yar na dekha kabhi
jab gaya aankh hi bhar kar gaya
Hasrat Azimabadi
main 'hasrat' mujtahid hun but-parasti ki tariqat ka
na puchho mujh ko kaisa kufr hai islam kya hoga
Hasrat Azimabadi
maKHuz hoge shaiKH-e-riya-kar roz-e-hashr
paDhte ho tum azab ki aayat be-tarah
Hasrat Azimabadi
khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol
kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera
Hasrat Azimabadi
kafir-e-ishq hun ai shaiKH pe zinhaar nahin
teri tasbih ko nisbat meri zunnar ke sath
Hasrat Azimabadi

