chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna
hum to bazar ke bazar uTha laenge
Ata Turab
han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi
hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah
Ata Turab
ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum
kis liye ruKH pe koi ghaza laga kar dekhen
Ata Turab
kya kya na pyas jage mere dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai lage jo raat bha
Ata Turab
tarash aur bhi apne tasawwur-e-rab ko
tere KHuda se to behtar mera sanam hai abhi
Ata Turab
tufan-e-bahr KHak Daraata mujhe 'turab'
us se baDa bhanwar to safine ke bich tha
Ata Turab
wo ek suKHan hi hamari sanad na ban jae
wo ek suKHan jo tumhaari sanad nahin rakhta
Ata Turab
yun mohabbat se na hum KHana-ba-doshon ko bula
itne sada hain ki ghar-bar uTha laenge
Ata Turab