'arif'-husain dhoka sahi apni zindagi
is zindagi ke baad ki haalat bhi hai fare
Arif Shafiq
andhe adam wajud ke girdab se nikal
ye zindagi bhi KHwab hai tu KHwab se nikal
Arif Shafiq
apne darwaze pe KHud hi dastaken deta hai wo
ajnabi lahje mein phir wo puchhta hai kaun hai
Arif Shafiq
gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
Arif Shafiq
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
Arif Shafiq
kaisa matam kaisa rona miTTi ka
TuT gaya hai ek khilauna miTTi ka
Arif Shafiq
mujh ko waisa KHuda mila bilkul
main ne 'arif' kiya guman jaisa
Arif Shafiq
tujhe main zindagi apni samajh raha tha magar
tere baghair basar main ne zindagi kar li
Arif Shafiq