nursery ka daKHila bhi sarsari mat jaaniye
aap ke bachche ko aflatun hona chahiye
Anwar Masood
jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki
jaane kis Dhang se ab us ko manana hoga
Anwar Masood
jo hansna hansana hota hai
rone ko chhupana hota hai
Anwar Masood
juda hogi kasak dil se na us ki
juda hote hue achchha laga tha
Anwar Masood
main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'
ki un ke shar se kya kya KHair ke pahlu nikalte hain
Anwar Masood
main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi
waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich
Anwar Masood
masjid ka ye maik jo uTha lae ho ai 'anwar'
kya jaaniye kis waqt azan dene lagega
Anwar Masood
nazdik ki ainak se use kaise main DhunDun
jo dur ki ainak hai kahin dur paDi hai
Anwar Masood
urdu se ho kyun bezar english se kyun itna pyar
chhoDo bhi ye raTTa yar twinkle twinkle little sta
Anwar Masood

