meri tamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum'
ki jangal saf hone se nagar aabaad hote hain
Anjum Khaleeq
so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin
udhar hai ek samundar idhar hai ek sara
Anjum Khaleeq
sitam to ye hai ki fauj-e-sitam mein bhi 'anjum'
bas apne log hi dekhun jidhar nigah karun
Anjum Khaleeq
saron se taj baDe jism se abaen baDi
zamane hum ne tera intiKHab dekh liya
Anjum Khaleeq
naKHl-e-ana mein zor-e-numu kis ghazab ka tha
ye peD to KHizan mein bhi shadab rah gaya
Anjum Khaleeq
meri hawas ke muqabil ye shahr chhoTe hain
KHala mein ja ke nai bastiyan talash karun
Anjum Khaleeq
main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun
tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana
Anjum Khaleeq
mere junun ko hawas mein shumar kar lega
wo mere tir se mujh ko shikar kar lega
Anjum Khaleeq
tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jati
ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jati
Anjum Khaleeq

