zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi
ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere
Anjum Khaleeq
zarfishan hai meri zarKHez zaminon ka badan
zarra zarra mere punjab ka paras nikla
Anjum Khaleeq
ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga
phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi
Anjum Khaleeq
allah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yas ke mausam mein bhi ummid ka fan sikh
Anjum Khaleeq
aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai
main shahr shahr phirun nekiyan talash karun
Anjum Khaleeq
ahut sabit-qadam niklen gae waqton ki tahziben
ki ab un ke hawalon se khanDar aabaad hote hain
Anjum Khaleeq
as ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein
ye teri be-ruKHi ye tammul na jaega
Anjum Khaleeq
ite hue lamhat ko pahchan mein rakhna
murjhae hue phul bhi gul-dan mein rakhna
Anjum Khaleeq
firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain
KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen
Anjum Khaleeq