ahut barbaad hain lekin sada-e-inqalab aae
wahin se wo pukar uThega jo zarra jahan hoga
Ali Sardar Jafri
daman jhaTak ke wadi-e-gham se guzar gaya
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
dil-o-nazar ko abhi tak wo de rahe hain fareb
tasawwuraat-e-kuhan ke qadim but-KHane
Ali Sardar Jafri
inqalab aaega raftar se mayus na ho
bahut aahista nahin hai jo bahut tez nahin
Ali Sardar Jafri
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaiKH ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
Ali Sardar Jafri
isi liye to hai zindan ko justuju meri
ki muflisi ko sikhai hai sar-kashi main ne
Ali Sardar Jafri
kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
Ali Sardar Jafri
kami kami si thi kuchh rang-o-bu-e-gulshan mein
lab-e-bahaar se nikli hui dua tum ho
Ali Sardar Jafri
maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut
dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle
love's killing grounds has etiquette that is truly apart
before the killer takes your head you have to give your heart
Ali Sardar Jafri