ajib us se talluq hai kya kaha jae
kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
dhanak ki tarah nikharta hai shab ko KHwabon mein
wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rahta hai
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
gham-e-ayyam pe yun KHush hain tere diwane
gham-e-ayyam bhi ek teri ada ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
harf-e-dushnam se yun us ne nawaza hum ko
ye malamat hi mohabbat ka sila ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
isi talash mein pahuncha hun ishq tak tere
ki is hawale se pa jaun main dawam apna
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
jab aa rahi hain bahaaren liye payam-e-junun
ye pairahan ko mere hajat-e-rafu kya thi
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
jo bar-e-dosh raha sar wo kab tha shorida
baha na jis se lahu wo rag-e-gulu kya thi
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
kabhi KHushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun
KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai
Akbar Ali Khan Arshi Zadah