phir is ke baad patthar ho gaya aaankhon ka pani
jab apne gham mein rone se kiya inkar main ne
Ahmad Shanas
main iktishaf ki hijrat bahisht se laya
meri talash mein mera maqam likkha tha
Ahmad Shanas
main KHud apne aap se hun begana sa
basti ke insan bhi mere jaise hain
Ahmad Shanas
main ne bhi bachchon ko apni nisbat se aazad kiya
wo bhi apne hathon se insan banana bhul gaya
Ahmad Shanas
main us ki pahchan hun ya wo meri
kya samjhun aur wo samjhae kya kya
Ahmad Shanas
nau-jawanon ka qabila us ke pichhe chal paDa
jurm kar ke bhagne wala misali ho gaya
Ahmad Shanas
pas-e-KHayal hun kitna zuhur kitna hun
KHabar nahin ki abhi KHud se dur kitna hun
Ahmad Shanas
shab-o-roz naKHl-e-wajud ko naya ek barg-e-ana diya
hamein inhiraf ka hausla bhi diya to misl-e-dua diya
Ahmad Shanas
sat qulzum hain mere sine mein
ek qatre se ubhaara tha mujhe
Ahmad Shanas

