nau-jawanon ka qabila us ke pichhe chal paDa
jurm kar ke bhagne wala misali ho gaya
Ahmad Shanas
main us ki pahchan hun ya wo meri
kya samjhun aur wo samjhae kya kya
Ahmad Shanas
main ne bhi bachchon ko apni nisbat se aazad kiya
wo bhi apne hathon se insan banana bhul gaya
Ahmad Shanas
main KHud apne aap se hun begana sa
basti ke insan bhi mere jaise hain
Ahmad Shanas
main iktishaf ki hijrat bahisht se laya
meri talash mein mera maqam likkha tha
Ahmad Shanas
allah wala ek qabila meri nisbat
aur main apne nam nasab se na-waqif hun
Ahmad Shanas
lafzon ki dastaras mein mukammal nahin hun main
likkhi hui kitab ke bahar bhi sun mujhe
Ahmad Shanas
lafz jab utra meri aankhen munawwar ho gain
lafz 'ahmad' zindagi se rabte ki Dor hai
Ahmad Shanas
KHud ko paya tha na khoya main ne
be-karan zat kinara tha mujhe
Ahmad Shanas

