aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya
pahle diwar shikasta hui phir bab gira
Ahmad Azeem
ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de
main tere sath sath raha ghar nahin gaya
Ahmad Azeem
azar-e-arzu mein kaTi ja rahi hai umr
hum ko KHarid le wo KHaridar chahiye
Ahmad Azeem
dhund mein kho ke rah gain suraten mehr-o-mah si
waqt ki gard ne unhen KHwab-o-KHayal kar diya
Ahmad Azeem
isi liye to haar ka hua nahin malal tak
wo mere sath sath tha uruj se zawal tak
Ahmad Azeem
kya DhunDne nikli hai kisi qais ko pagal
is darja jo ye baad-e-bayabani hui hai
Ahmad Azeem
saDak ke par chala ja raha hai bachta hua
kisi ka hath koi mehrban thame hue
Ahmad Azeem
sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho
jo log mar gae hain unhen KHak se uTha
Ahmad Azeem
tu ne bhi sare zaKHm kisi taur sah liye
main bhi bichhaD ke ji hi liya mar nahin gaya
Ahmad Azeem