اردو हिंदी
Fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha | Shaahi Shayari
fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha

Ghazal

Fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha

Ahmad Azeem

;

fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha
suraj kisi ke pairhan-e-chaak se uTha

ye dil uTha raha hai baDe hausle ke sath
wo bar jo zamin se na aflak se uTha

sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho
jo log mar gae hain unhen KHak se uTha

suraj ki zau charagh-e-shikasta ki lau se ho
qulzum ki mauj dida-e-namnak se uTha

puchha jo us ne ahd-e-jarahat ka majra
dariya lahu ka har rag-e-poshak se uTha