اردو हिंदी
Isi liye to haar ka hua nahin malal tak | Shaahi Shayari
isi liye to haar ka hua nahin malal tak

Ghazal

Isi liye to haar ka hua nahin malal tak

Ahmad Azeem

;

isi liye to haar ka hua nahin malal tak
wo mere sath sath tha uruj se zawal tak

nahin hai sahl is qadar ki ji sake har ek shaKHs
bala-e-hijr ki ruton se mausam-e-visal tak

hamari kisht-e-arzu ye dhup kya jalaegi
tumhaara intizar hum karenge barshgal tak

amiq zaKHm is qadar ba-dast-e-roz-o-shab mile
ki mundamil na kar saki dawa-e-mah-o-sal tak

quba-e-zard-o-surKH ka ye imtizaj al-aman
jamal ko wo le gaya pare had-e-kamal tak