abru na sanwara karo kaT jaegi ungli 
nadan ho talwar se khela nahin karte
Agha Shayar Qazalbash
aDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale 
koi dekhe is waqt chehra tumhaara
Agha Shayar Qazalbash
hamin hain maujib-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair' 
zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain
Agha Shayar Qazalbash
ek baat kahen tum se KHafa to nahin hoge 
pahlu mein hamare dil-e-muztar nahin milta
Agha Shayar Qazalbash
is liye kahte the dekha munh lagane ka maza 
aaina ab aap ka madd-e-muqabil ho gaya
Agha Shayar Qazalbash
kaleje mein hazaron dagh dil mein hasraten lakhon 
kamai le chala hun sath apne zindagi bhar ki
Agha Shayar Qazalbash
kis tarah jawani mein chalun rah pe naseh 
ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta
Agha Shayar Qazalbash
lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya 
ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui
Agha Shayar Qazalbash
milna na milna ye to muqaddar ki baat hai 
tum KHush raho raho mere pyare jahan kahin
Agha Shayar Qazalbash

