apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the
sang lipTe hue phulon mein nazar aae na the
Afzal Minhas
apni bulandiyon se girun bhi to kis tarah
phaili hui fazaon mein bikhra hua hun main
Afzal Minhas
ikharte jism le kar tund tufanon mein baiThe hain
koi zarre ki surat hai koi Tile ki surat hai
Afzal Minhas
ikhre hue hain dil mein meri KHwahishon ke rang
ab main bhi ek saja hua bazar ho gaya
Afzal Minhas
chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe
aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya
Afzal Minhas
dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud
is se pahle to kabhi is ke ye pairae na the
Afzal Minhas
dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaz
phir sahar ke waqt honTon par dua bhi aaegi
Afzal Minhas
ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log
koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye
Afzal Minhas
hawa ke phul mahakne lage mujhe pa kar
main pahli bar hansa zaKHm ko chhupae hue
Afzal Minhas