hamare aaza jo aasman ki taraf dua ke liye uThe hain
(tum aasman ki taraf na dekho!)
maqam-e-nazuk pe zarb-e-kari se jaan bachane ka hai wasila
ki apni mahrumiyon se chhupne ka ek hila?
buzurg-o-bartar KHuda kabhi to (bahisht-e-bar-haq)
hamein KHuda se najat dega
ki hum hain is sarzamin pe jaise wo harf-e-tanha
(magar wo aisa jahan na hoga) KHamosh o goya
jo aarzu-e-visal-e-mani mein ji raha ho
jo harf-e-mani ki yak-dili ko taras gaya ho
hamein muarra ke KHwab de do
(ki sab ko baKHshen ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)
hamein muarra ki ruh ka iztirab de do
(jahan gunahon ke hausle se mile taqaddus ke dukh ka marham)
ki us ki be-nur-o-tar aanhken
darun-e-adam ki tera raaton
ko chhedti thin
usi jahan mein firaq-e-jaan-kah-e-harf-o-mani
ko dekhti thin
bahisht us ke liye wo masum sada-lauhon ki aafiyat tha
jahan wo nange badan pe jabir ke taziyanon se bach ke
rah-e-farar paen
wo kafsh-e-pa tha ki jis se ghurbat ki reg-e-baryan
se roz-e-fursat qarar paen
ki sulb-e-adam ki rahm-e-hawwa ki uzlaton mein
nihayat-e-intizar paen!
(bahisht sifr-e-azim lekin hamein wo gum-gashta hindse hain
baghair jin ke koi musawat kya banegi
visal-e-mani se harf ki baat kya banegi?)
hum is zamin par azal se pirana-sar hain mana
magar abhi tak hain dil tawana
aur apni zulida-kariyon ke tufail dana
hamein muarra ke KHwab de do
(bahisht mein bhi nashat yak-rang ho to gham hai
ho ek sa jam-e-shahd sab ke liye to sam hai)
ki hum abhi tak hain is jahan mein wo harf-e-tanha
(bahisht rakh lo hamein KHud apna jawab de do!)
jise tamanna-e-wasl-e-mana
Nazm
Wo harf-e-tanha
Noon Meem Rashid