kyun jaan-e-hazin KHatra-e-mauhum se nikle
kyun nala-e-hasrat dil-e-maghmum se nikle
aansu na kisi dida-e-mazlum se nikle
kah do ki na shikwa lab-e-maghmum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
urdu ka gham-e-marg subuk bhi hai garan bhi
hai shamil-e-arbab-e-aza shah-e-jahan bhi
miTne ko hai aslaf ki azmat ka nishan bhi
ye mayyat-e-gham dehli-e-marhum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
ai taj-mahal naqsh-ba-diwar ho gham se
ai qila-e-shahi ye alam puchh na hum se
ai KHak-e-awadh faeda kya sharh-e-sitam se
tahrik ye misr-o-arab-o-rome se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
saya ho jab urdu ke janaze pe 'wali' ka
hon 'mir-taqi' sath to hamrah hun 'sauda'
dafnaen use 'mushafi'-o-'nasiKH'-o-'insha'
ye fal har ek daftar-e-manzum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
bad-zauq hai ahbab se go zauq hain ranjur
urdu-e-mualla ke na matam se rahen dur
talqin sar-e-qabr paDhen momin-e-maghfur
fariyaad dil-e-'ghaalib'-e-marhum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
hai marsiyan-KHwan qaum hain urdu ke bahut kam
kah do ki 'anis' is ka likhen marsiya-e-gham
jannat se 'dabir' aa ke paDhen nauha-e-matam
ye chiKH uThe dil se na hulqum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
is lash ko chupke se koi dafan na kar de
pahle koi 'sirsayyad'-e-azam ko KHabar de
wo mard-e-KHuda hum mein nai ruh to bhar de
wo ruh ki maujud na madum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
urdu ke janaze ki ye saj-dhaj ho nirali
saf-basta hon marhuma ke sab waris-o-wali
'azad'-o-'nazir'-o-'sharar'-o-'shibli'-o-'haali'
fariyaad ye sab ke dil-e-maghmum se nikle
urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
Nazm
Urdu ka janaza hai zara dhum se nikle
Rais Amrohvi