dalil-e-subh-e-raushan hai sitaron ki tunuk-tabi
ufuq se aaftab ubhra gaya daur-e-giran-KHwabi
uruq-murda-e-mashriq mein KHun-e-zindagi dauDa
samajh sakte nahin is raaz ko sina o farabi
musalman ko musalman kar diya tufan-e-maghrib ne
talatum-ha-e-dariya hi se hai gauhar ki sairabi
ata momin ko phir dargah-e-haq se hone wala hai
shikoh-e-turkamani zehn hindi nutq aarabi
asar kuchh KHwab ka ghunchon mein baqi hai tu ai bulbul
nawa-ra talKH-tarmi zan chu zauq-e-naghma kam-yabi
taDap sehn-e-chaman mein aashiyan mein shaKH-saron mein
juda pare se ho sakti nahin taqdir-e-simabi
wo chashm-e-pak hain kyun zinat-e-bar-gustawan dekhe
nazar aati hai jis ko mard-e-ghazi ki jigar-tabi
zamir-e-lala mein raushan charagh-e-arzu kar de
chaman ke zarre zarre ko shahid-e-justuju kar de
sarishk-e-chashm-e-muslim mein hai naisan ka asar paida
KHalilullah ke dariya mein honge phir guhar paida
kitab-e-millat-e-baiza ki phir shiraaza-bandi hai
ye shaKH-e-hashmi karne ko hai phir barg-o-bar paida
rabud aan turk shiraazi dil-e-tabrez-o-kabul ra
saba karti hai bu-e-gul se apna ham-safar paida
agar usmaniyon par koh-e-gham TuTa to kya gham hai
ki KHun-e-sad-hazar-anjum se hoti hai sahar paida
jahanbani se hai dushwar-tar kar-e-jahan-bini
jigar KHun ho to chashm-e-dil mein hoti hai nazar paida
hazaron sal nargis apni be-nuri pe roti hai
baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida
nawa-paira ho ai bulbul ki ho tere tarannum se
kabutar ke tan-e-nazuk mein shahin ka jigar paida
tere sine mein hai poshida raaz-e-zindagi kah de
musalman se hadis-e-soz-o-saz-e-zindagi kah de
KHuda-e-lam-yazal ka dast-e-qudrat tu zaban tu hai
yaqin paida kar ai ghafil ki maghlub-e-guman tu hai
pare hai charKH-e-nili-fam se manzil musalman ki
sitare jis ki gard-e-rah hon wo karwan to hai
makan fani makin fani azal tera abad tera
KHuda ka aaKHiri paigham hai tu jawedan tu hai
Hina-band-e-urus-e-lala hai KHun-e-jigar tera
teri nisbat barahimi hai memar-e-jahan tu hai
teri fitrat amin hai mumkinat-e-zindagani ki
jahan ke jauhar-e-muzmar ka goya imtihan to hai
jahan-e-ab-o-gil se aalam-e-jawed ki KHatir
nubuwwat sath jis ko le gai wo armughan tu hai
ye nukta sarguzisht-e-millat-e-baiza se hai paida
ki aqwam-e-zamin-e-asia ka pasban tu hai
sabaq phir paDh sadaqat ka adalat ka shujaat ka
liya jaega tujh se kaam duniya ki imamat ka
yahi maqsud-e-fitrat hai yahi ramz-e-musalmani
uKHuwwat ki jahangiri mohabbat ki farawani
butan-e-rang-o-KHun ko toD kar millat mein gum ho ja
na turani rahe baqi na irani na afghani
miyan-e-shaKH-saran sohbat-e-murgh-e-chaman kab tak
tere bazu mein hai parwaz-e-shahin-e-qahastani
guman-abaad hasti mein yaqin mard-e-musalman ka
bayaban ki shab-e-tarik mein qindil-e-rohbani
miTaya qaisar o kisra ke istibdad ko jis ne
wo kya tha zor-e-haidar faqr-e-bu-zar sidq-e-salmani
hue ahrar-e-millat jada-paima kis tajammul se
tamashai shigaf-e-dar se hain sadiyon ke zindani
sabaat-e-zindagi iman-e-mohkam se hai duniya mein
ki almani se bhi paenda-tar nikla hai turani
jab is angara-e-KHaki mein hota hai yaqin paida
to kar leta hai ye baal-o-par-e-ruh-ul-amin paida
ghulami mein na kaam aati hain shamshiren na tadbiren
jo ho zauq-e-yaqin paida to kaT jati hain zanjiren
koi andaza kar sakta hai us ke zor-e-bazu ka
nigah-e-mard-e-momin se badal jati hain taqdiren
wilayat padshahi ilm-e-ashiya ki jahangiri
ye sab kya hain faqat ek nukta-e-iman ki tafsiren
barahimi nazar paida magar mushkil se hoti hai
hawas chhup chhup ke sinon mein bana leti hai taswiren
tamiz-e-banda-o-aqa fasad-e-admiyat hai
hazar ai chira-dastan saKHt hain fitrat ki taziren
haqiqat ek hai har shai ki KHaki ho ki nuri ho
lahu KHurshid ka Tapke agar zarre ka dil chiren
yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-alam
jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren
che bayad mard ra tab-e-buland mashrab-e-nabe
dil-e-garme nigah-e-pak-bine jaan-e-betabe
uqabi shan se jhapTe the jo be-baal-o-par nikle
sitare sham ke KHun-e-shafaq mein Dub kar nikle
hue madfun-e-dariya zer-e-dariya tairne wale
tamanche mauj ke khate the jo ban kar guhar nikle
ghubar-e-rahguzar hain kimiya par naz tha jin ko
jabinen KHak par rakhte the jo iksir-gar nikle
hamara narm-rau qasid payam-e-zindagi laya
KHabar deti thin jin ko bijliyan wo be-KHabar nikle
haram ruswa hua pir-e-haram ki kam-nigahi se
jawanan-e-tatari kis qadar sahab-nazar nikle
zamin se nuryan-e-asman-parwaz kahte the
ye KHaki zinda-tar paenda-tar tabinda-tar nikle
jahan mein ahl-e-iman surat-e-KHurshid jite hain
idhar Dube udhar nikle udhar Dube idhar nikle
yaqin afrad ka sarmaya-e-tamir-e-millat hai
yahi quwwat hai jo surat-gar-e-taqdir-e-millat hai
tu raaz-e-kun-fakan hai apni aankhon par ayan ho ja
KHudi ka raaz-dan ho ja KHuda ka tarjuman ho ja
hawas ne kar diya hai TukDe TukDe nau-e-insan ko
uKHuwwat ka bayan ho ja mohabbat ki zaban ho ja
ye hindi wo KHurasani ye afghani wo turani
tu ai sharminda-e-sahil uchhal kar be-karan ho ja
ghubar-aluda-e-rang-o-nasab hain baal-o-par tere
tu ai murgh-e-haram uDne se pahle par-fishan ho ja
KHudi mein Dub ja ghafil ye sirr-e-zindagani hai
nikal kar halqa-e-sham-o-sahar se jawedan ho ja
masaf-e-zindagi mein sirat-e-faulad paida kar
shabistan-e-mohabbat mein harir o parniyan ho ja
guzar ja ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaban se
gulistan rah mein aae to ju-e-naghma-KHwan ho ja
tere ilm o mohabbat ki nahin hai intiha koi
nahin hai tujh se baDh kar saz-e-fitrat mein nawa koi
abhi tak aadmi said-e-zabun-e-shahryari hai
qayamat hai ki insan nau-e-insan ka shikari hai
nazar ko KHira karti hai chamak tahzib-e-hazir ki
ye sannai magar jhuTe nigun ki reza-kari hai
wo hikmat naz tha jis par KHirad-mandan-e-maghrib ko
hawas ke panja-e-KHunin mein tegh-e-kar-zari hai
tadabbur ki fusun-kari se mohkam ho nahin sakta
jahan mein jis tamaddun ki bina sarmaya-dari hai
amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi
ye KHaki apni fitrat mein na nuri hai na nari hai
KHarosh-amoz bulbul ho girah ghunche ki wa kar de
ki tu is gulsitan ke waste baad-e-bahaari hai
phir uTThi asia ke dil se chingari mohabbat ki
zamin jaulan-gah-e-atlas qabayan-e-tatari hai
baya paida KHarida rast jaan-e-na-tawan-e-ra
pas az muddat guzar uftad barma karwane ra
baya saqi nawa-e-murgh-zar az shaKH-sar aamad
bahaar aamad nigar aamad nigar aamad qarar aamad
kashid abr-e-bahaari KHema andar wadi o sahra
sada-e-abshaaran az faraaz-e-koh-sar aamad
sarat gardam toham qanun peshin saz dah saqi
ki KHail-e-naghma-pardazan qatar andar qatar aamad
kanar az zahidan bar-gir o bebakana saghar-kash
pas az muddat azin shaKH-e-kuhan bang-e-hazar aamad
ba-mushtaqan hadis-e-KHwaja-e-badro hunain aawar
tasarruf-ha-e-pinhanash ba-chashm-e-ashkar aamad
digar shaKH-e-KHalil az KHun-e-ma namnak mi gardad
ba-bazar-e-mohabbat naqd-e-ma kaamil ayyar aamad
sar-e-KHak-e-shahire barg-ha-e-lala mi pasham
ki KHunash ba-nihaal-e-millat-e-ma sazgar aamad
baya ta-gul ba-afmaishanim o mai dar saghar andazem
falak ra saqf ba-shagafem o tarh-e-digar andazem
Nazm
Tulu-e-islam
Allama Iqbal