pir-baKHsh building se pir-baKHsh ke marqad tak
apni hi baKHshish ki duaon ke karbzar se guzar kar aane wali
sar par guzishta mah o sal ke kitne hi thaal uThae
aaj bhi ek qabr-e-gum-gashta ka nishan aur apne madum kal ke liye KHitta-e-aman
ek sath DhunD rahi hai
us ke nange talwon se chhune wali tapish ki lahar lahar use apne
khilaunon se mahrum bachpan ke sath sath wo bahaaren bhi yaad dila jati hai
jab kisi an-dekhe jhonke se mahak uThne ki KHwahish mein us ke sapne
pas-e-diwar murjha gae aur us ke baal chambeli ke phul bante gae
aur phir us ki kalaiyon mein pahni hui jhurriyon mein talai chuDiyon
ke aks jhilmilane lage
abhi abhi ek be-tartib sahukar apne bikhre hue noTon
ko tartib dene ka jaan-gusil fariza sar-anjam dete dete thak gaya
mai maryam ne pahle to noTon mein muqayyad zaruraton se mulaqat
ki ek aur koshish ki
aur phir ek nazar aasman par Dali jaise wahan bhi koi rahta ho
us ki aankhon se nikalne ke liye be-tab hasraton mein se
kuchh to un goliyon ko bhi bhigo gain
jinhen apne larazte hathon mein lete hi use yaqin ho chala tha
ki aaj raat use koi dard nahin sataega
aur subh ko khansi ka daura bhi nahin paDega
magar kahan
bimariyan bhi aaj kal apne mizaj mein bahut be-niyaz ho gai hain
Nazm
Qahf-ul-qahat
Ghulam Mohammad Qasir