اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Shabnam Ashai

;

kash yun hota
ki wafa

man ka firan chaak kar ke
farar pati!

baKHiye udheD kar
udham jot ke

man ko chhoD jati
intizar tamam

kaT jate
man ki aankh lag jati!