اردو हिंदी
Nae ahd ka naya sawal | Shaahi Shayari
nae ahd ka naya sawal

Nazm

Nae ahd ka naya sawal

Shahryar

;

ye baat roz-e-azal se tai hai
zamin jismon ka bojh uThaegi

aasman par rahengi ruhen
magar koi hai jo ye batae

hamari parchhaiyon ki qabren
kahan banengi?