ja basa maghrib mein aaKHir ai makan tera makin
aah! mashriq ki pasand aai na us ko sarzamin
aa gaya aaj is sadaqat ka mere dil ko yaqin
zulmat-e-shab se ziya-e-roz-e-furqat kam nahin
taz aaghosh-e-wida'ish dagh-e-hairat chida ast
ham-chu sham-e-kushta dar-chashm-e-nigah KHwabida ast
kushta-e-uzlat hun aabaadi mein ghabraata hun main
shahr se sauda ki shiddat mein nikal jata hun main
yaad-e-ayyam-e-salaf se dil ko taDpata hun main
bahr-e-taskin teri jaanib dauDta aata hun main
aankh ko manus hai tere dar-o-diwar se
ajnabiyyat hai magar paida meri raftar se
zarra mere dil ka KHurshid-ashna hone ko tha
aaina TuTa hua aalam-numa hone ko tha
naKHl meri aarzuon ka hara hone ko tha
aah! kya jaane koi main kya se kya hone ko tha!
abr-e-rahmat daman-az-gulzar-e-man barchid-o-raft
andkai bar-ghuncha hae aarzu barid-o-raft
tu kahan hai ai kalim-e-zarra-e-sina-e-ilm!
thi teri mauj-e-nafas baad-e-nashat-afza-e-ilm
ab kahan wo shauq-e-rah-paimai-e-sahra-e-ilm
tere dam se tha hamare sar mein bhi sauda-e-ilm
shor-e-laila ko ki baz-araish-e-sauda kunad
KHak-e-majnun-ra ghubar-e-KHatir-e-sahra kunad
khol dega dasht-e-wahshat uqda-e-tadir ko
toD kar pahunchunga main punjab ki zanjir ko
dekhta hai dida-e-hairan teri taswir ko
kya tasalli ho magar girwida-e-taqrir ko
tab-e-goyai nahin rakhta dahan taswir ka
KHamushi kahte hain jis ko hai suKHan taswir ka
Nazm
Nala-e-firaq
Allama Iqbal