ye jo ek hazrat chale aate hain goristan se
ye na samjhen aap hain be-zar apni jaan se
aap ko yunhi hai aasar-e-qadima se lagaw
jis tarah chuna Dali, katthe ko nisbat pan se
aap ko qabron se ulfat ishq virane se hai
aap ghabraate hain jite-jagte insan se
koi kitna hi baDa ho falsafi shaer adib
umr bhar is se raha karte hain aap anjaan se
han magar jaise hi pa jata hai be-chaara wafat
aap us ko chahne lagte hain ji se jaan se
sunghte hain der tak marhum ki KHak-e-lahad
phir ye farmate hain uTh kar aalimana shan se
tul-o-arz-e-qabr se ye saf chalta hai pata
gorkan aae the atraf-e-balochistan se
ye tha ek ruKH sahib-e-tahqiq ki taswir ka
dusra ruKH bhi bayan karta hun, suniye dhyan se
hain ba-zom-e-KHud muhaqqiq aap hindostan ke
aap ne nuqte gine hain 'mir' ke diwan ke
kaTte hain sut ko tahqiq ke itna mahin
aap ke aage jolahe mat hain iran ke
zer-e-tahqiq aap ke rahte hain ye sab masale
kis qadar chuhe pale the ghar mein 'momin'-KHan ke
panch baj kar panch par ya panch baj kar sat par
'dagh' ne toDa tha dam zanu pe munni-jaan ke
'rind' ne ek bewafa ke ishq mein khai thi jo
wo chhuri ke zaKHm the ya ghaw the kirpan ke
dhun hai ye sabit karen, dilli tha 'miltan' ka watan
aur 'sauda' ke chacha butcher the inglistan ke
al-gharaz rahti hai roz o shab yahi bas ek fikr
koi gul-dasta utaren taq se nisyan ke
Nazm
Muhaqqiq
Raza Naqvi Vahi