ek din hazrat-e-hafiz ne ye dekha manzar
tauq-e-zarrin se muzayyan hai hama gardan-e-KHar
aur chhakDe mein juta reng raha hai tazi
zaKHm hi zaKHm hai koDe ka zi-sar ta-ba-kamar
the jau marhum baDe sada-dil o nek-mizaj
in-che shorist kaha aur gire chakra kar
wo to is gham ko liye KHuld-e-barin mein pahunche
kai sadiyon ka zamane ne lagaya chakkar
aaj hum par bhi magar jabr-e-nazara hai wahi
wahi nairang-e-tamasha wahi nairang-e-nazar
wo chara-gah-e-siyasat ho ki maidan-e-adab
tauq-e-zarrin hai wahi aur wahi gardan-e-KHar
iKHtiyaraat ki kursi pe KHran-e-farba
mutamakkin nazar aate hain ba-sad karr-o-farr
ek kursi pe kisi tarah uchak kar pahunche
aur phir dhaD se khule kashf-o-karamat ke dar
phir to 'buqraat' aur 'arastu'-e-zamana hain wo
ilm o hikmat mein nahin phir koi un ka ham-sar
phir to sahra-e-jahaalat bhi hai dariya-e-ulum
phir to is be-hunari mein bhi hain sau sau jauhar
KHwah do harf bhi talim na hasil ki ho
tauq-e-zarrin ke karishme se bane danish-war
koi jalsa ho wo mehman-e-KHosusi honge
koi mauqa ho dhaDalle se wo denge lecture
wo zamin ke hon masail ke KHala ki baaten
misl-e-miqraaz zaban chalti rahegi far-far
aalim o fazil o danish-war o ahl-e-hikmat
sab nazar aaenge qadmon pe jhukae hue sar
tauq-e-zarrin ka jo is ko na karishma kahiye
natiqa sar-ba-gireban ki ise kya kahiye
Nazm
Mehman-e-KHosusi
Raza Naqvi Vahi