اردو हिंदी
KHizr-e-rah | Shaahi Shayari
KHizr-e-rah

Nazm

KHizr-e-rah

Allama Iqbal

;

shair
sahil-e-dariya pe main ek raat tha mahw-e-nazar

gosha-e-dil mein chhupae ek jahan-e-iztrab
shab sukut-afza hawa aasuda dariya narm sair

thi nazar hairan ki ye dariya hai ya taswir-e-ab
jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-KHwar

mauj-e-muztar thi kahin gahraiyon mein mast-e-KHwab
raat ke afsun se tair aashiyanon mein asir

anjum-e-kam-zau giraftar-e-tilism-e-mahtab
dekhta kya hun ki wo paik-e-jahan-paima KHizr

jis ki piri mein hai manind-e-sahar rang-e-shabab
kah raha hai mujh se ai juya-e-asrar-e-azal

chashm-e-dil wa ho to hai taqdir-e-alam be-hijab
dil mein ye sun kar bapa hangama-e-mahshar hua

main shahid-e-justuju tha yun suKHan-gustar hua
ai teri chashm-e-jahan-bin par wo tufan aashkar

jin ke hangame abhi dariya mein sote hain KHamosh
kashti-e-miskin-o-jaan-e-pak-o-diwar-e-yatim

ilm-e-musa bhi hai tere samne hairat-farosh
chhoD kar aabaadiyan rahta hai tu sahra-naward

zindagi teri hai be-roz-o-shab-o-farda-o-dosh
zindagi ka raaz kya hai saltanat kya chiz hai

aur ye sarmaya-o-mehnat mein hai kaisa KHarosh
ho raha hai asia ka KHirqa-e-derina chaak

naujawan aqwam-e-nau-daulat ke hain pairaya-posh
garche askandar raha mahrum-e-ab-e-zindagi

fitrat-e-askandari ab tak hai garm nao-nosh
bechta hai hashmi namus din-e-mustafa

KHak-o-KHun mein mil raha hai turkaman-e-shaKHt-kosh
aag hai aulad-e-ibrahim hai namrud hai

kya kisi ko phir kisi ka imtihan maqsud hai
jawab-e-KHizr

sahra-nawardi
kyun tajjub hai meri sahra-nawardi par tujhe

ye taga-pu-e-damadam zindagi ki hai dalil
ai rahin-e-KHana tu ne wo saman dekha nahin

gunjti hai jab faza-e-dasht mein bang-e-rahil
ret ke Tile pe wo aahu ka be-parwa KHiram

wo hazar be-barg-o-saman wo safar be-sang-o-mil
wo numud-e-aKHtar-e-simab-pa hangam-e-subh

ya numayan baam-e-gardun se jabin-e-jibrail
wo sukut-e-sham-e-sahra mein ghurub-e-aftab

jas se raushan-tar hui chashm-e-jahan-bin-e-KHalil
aur wo pani ke chashme par maqam-e-karwan

ahl-e-iman jas tarah jannat mein gird-e-salsabil
taza virane ki sauda-e-mohabbat ko talash

aur aabaadi mein tu zanjiri-e-kisht-o-naKHil
puKHta-tar hai gardish-e-paiham se jam-e-zindagi

hai yahi ai be-KHabar raaz-e-dawam-e-zindagi
zindagi bartar az sud-o-ziyan hai zindagi

zindagi bartar az andesha-e-sud-o-ziyan hai zindagi
hai kabhi jaan aur kabhi taslim-e-jaan hai zindagi

tu ise paimana-e-imroz-o-farda se na nap
jawedan paiham dawan har-dam jawan hai zindagi

apni duniya aap paida kar agar zindon mein hai
sirr-e-adam hai zamir-e-kun-fakan hai zindagi

zindagani ki haqiqat kohkan kai dil se puchh
ju-e-shir-o-tesha-o-sang-e-garan hai zindagi

bandagi mein ghaT ke rah jati hai ek ju-e-kam-ab
aur aazadi mein bahr-e-be-karan hai zindagi

aashkara hai ye apni quwwat-e-tasKHir se
garche ek miTTi ke paikar mein nihan hai zindagi

qulzum-e-hasti se to ubhra hai manind-e-habab
is ziyan-KHane mein tera imtihan hai zindagi

KHam hai jab tak tu hai miTTi ka ek ambar tu
puKHta ho jae tu hai shamsher-e-be-zinhaar tu

ho sadaqat ke liye jis dil mein marne ki taDap
pahle apne paikar-e-KHaki mein jaan paida kare

phunk Dale ye zamin-o-asman mustaar
aur KHakistar se aap apna jahan paida kare

zindagi ki quwwat-e-pinhan ko kar de aashkar
ta ye chingari frogh-e-jawedan paida kare

KHak-e-mashriq par chamak jae misal-e-aftab
ta-badaKHshan phir wahi lal-e-giran paida kare

su-e-gardun nala-e-shab-gir ka bheje safir
raat ke taron mein apne raaz-dan paida kare

ye ghaDi mahshar ki hai to arsa-e-mehshar mein hai
pesh kar ghafil amal koi agar daftar mein hai

saltanat
aa bataun tujh ko ramz-e-aya-e-innal-muluk

saltanat aqwam-e-ghaalib ki hai ek jadugari
KHwab se be-dar hota hai zara mahkum agar

phir sula deti hai us ko hukmaran ki sahiri
jadu-e-mahmud ki tasir se chashm-e-ayaz

dekhti hai halqa-e-gardan mein saz-e-dil-bari
KHun-e-israil aa jata hai aaKHir josh mein

toD deta hai koi musa tilism-e-samari
sarwari zeba faqat us zat-e-be-hamta ko hai

hukmaran hai ek wahi baqi butan-e-azari
az ghulami fitrat-e-azad ra ruswa makun

ta-tarashi KHwaja-e-az-barahman kafir teri
hai wahi saz-e-kuhan maghrib ka jamhuri nizam

jis ke pardon mein nahin ghair-az-nawa-e-qaisari
dew-e-istibdad jamhuri qaba mein pa-e-kub

tu samajhta hai ye aazadi ki hai nilam-pari
majlis-e-ain-o-islah-o-riayat-o-huquq

tibb-e-maghrib mein maze miThe asar KHwab-awari
garmi-e-guftar aaza-e-majalis al-aman

ye bhi ek sarmaya-daron ki hai jang-e-zargari
is sarab-e-rang-o-bu ko gulistan samjha hai tu

aah ai nadan qafas ko aashiyan samjha hai tu
sarmaya-o-mehnat

banda-e-mazdur ko ja kar mera paigham de
KHizr ka paigham kya hai ye payam-e-kaenat

ai ki tujh ko kha gaya sarmaya-dar-e-hila-gar
shaKH-e-ahu par rahi sadiyon talak teri baraat

dast-e-daulat-afrin ko muzd yun milti rahi
ahl-e-sarwat jaise dete hain gharibon ko zakat

sahir-al-mut ne tujh ko diya barg-e-hashish
aur tu ai be-KHabar samjha use shaKH-e-nabaat

nasl qaumiyat kalisa saltanat tahzib rang
KHwajgi ne KHub chun chun ke banae muskiraat

kaT mara nadan KHayali dewtaon ke liye
sukr ki lazzat mein tu luTwa gaya naqd-e-hayat

makr ki chaalon se bazi le gaya sarmaya-dar
intiha-e-sadgi se kha gaya mazdur mat

uTh ki ab bazm-e-jahan ka aur hi andaz hai
mashriq-o-maghrib mein tere daur ka aaghaz hai

himmat-e-ali to dariya bhi nahin karti qubul
ghuncha san ghafil tere daman mein shabnam kab talak

naghma-e-bedari-e-jamhur hai saman-e-aish
qissa-e-KHwab-awar askandar-o-jam kab talak

aaftab-e-taza paida batn-e-giti se hua
aasman Dube hue taron ka matam kab talak

toD Dalin fitrat-e-insan ne zanjiren tamam
duri-e-jannat se roti chashm-e-adam kab talak

baghban-e-chaara-farma se ye kahti hai bahaar
zaKHm-e-gul ke waste tadbir-e-marham kab talak

kirmak-e-nadan tawaf-e-shama se aazad ho
apni fitrat ke tajalli-zar mein aabaad ho

duniya-e-islam
kya sunata hai mujhe turk-o-arab ki dastan

mujh se kuchh pinhan nahin islamiyon ka soz-o-saz
le gae taslis ke farzand miras-e-KHalil

KHisht-e-buniyaad-e-kalisa ban gai KHak-e-hijaz
ho gai ruswa zamane mein kulah-e-lala-rang

jo sarapa naz the hain aaj majbur-e-niyaz
le raha hai mai-faroshan-e-farangistan se pars

wo mai-e-sarkash hararat jis ki hai mina-gudaz
hikmat-e-maghrib se millat ki ye kaifiyyat hui

TukDe TukDe jis tarah sone ko kar deta hai gaz
ho gaya manind-e-ab arzan musalman ka lahu

muztarib hai tu ki tera dil nahin dana-e-raaz
guft rumi har bana-e-kuhana ki-abaadan kunand

mi na-dani awwal aan buniyaad ra viran kunand
mulk hathon se gaya millat ki aankhen khul gain

haq tera chashme ata kar dast-e-ghafil dar nigar
momyai ki gadai se to behtar hai shikast

mor-e-be-par hajate pesh-e-sulaimane mabar
rabt-o-zabt-e-millat-e-baiza hai mashriq ki najat

asia wale hain is nukte se ab tak be-KHabar
phir siyasat chhoD kar daKHil hisar-e-din mein ho

mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram ka ek samar
ek hun muslim haram ki pasbani ke liye

nil ke sahil se le kar ta-ba-KHak-e-kashghar
jo karega imtiyaz-e-rang-o-KHun miT jaega

turk-e-KHargahi ho ya aarabi-e-wala-guhar
nasl agar muslim ki mazhab par muqaddam ho gai

uD gaya duniya se tu manind-e-KHak-e-rah-guzar
ta-KHilafat ki bina duniya mein ho phir ustuwar

la kahin se DhunD kar aslaf ka qalb-o-jigar
ai ki na-shinasi KHafi ra az jali hushiyar bash

ai giraftar-e-abu-bakr-o-ali hushiyar-bash
ishq ko fariyaad lazim thi so wo bhi ho chuki

ab zara dil tham kar fariyaad ki tasir dekh
tu ne dekha satwat-e-raftar-e-dariya ka uruj

mauj-e-muztar kis tarah banti hai ab zanjir dekh
aam hurriyat ka jo dekha tha KHwab islam ne

ai musalman aaj to us KHwab ki tabir dekh
apni KHakistar samundar ko hai saman-e-wajud

mar ke phir hota hai paida ye jahan-e-pir dekh
khol kar aankhen mere aaina-e-guftar mein

aane wale daur ki dhundli si ek taswir dekh
aazmuda fitna hai ek aur bhi gardun ke pas

samne taqdir ke ruswai-e-tadbir dekh
muslim asti sina ra az aarzu-abaad dar

har zaman pesh-e-nazar la-yuKHlif-ul-miad dar