lahu ki pyasi barahna teghon ko ye pata hai
chamakte KHanjar ye jaante hain
ki shahzadi ki laghzishon se
ghulam shahi ki juraton se
haram ki hurmat ka KHun hua hai
mahal ki azmat ka KHun hua hai
sharafaton aur najabaton ke charagh-o-mahtab bujh gae hain
ba-nam-e-ulfat
ye aag kaisi hui hai raushan ki taq-o-mehrab bujh gae hain
huruf-e-ismat the jin se raushan
wo sare earab bujh gae hain
shujaaton ke amin-e-lashkar nazar jhukae khaDe hue hain
bas ek ishaare ke muntazir hai tabar uThae khaDe hue hain
ba-nam-e-izzat
ba-hukm-e-shahi
bas ek shab mein
barahna teghon ne sare manzar badal diye hain
fasil-e-qasr-e-ana ke niche wafa ki lashen paDi hui hain
jawan-mohabbat ki garm lashon pe kaun roe
ki KHauf-e-shahi se bazm-e-girya ke sare aadab bujh gae hain
koi KHilaf-e-sitam nahin hai
kisi ko ranj-o-alam nahin hai
zara bhi KHauf-e-adam nahin hai
kisi ki aankhen bhi nam nahin hain
sitam bhi chup hai jafa bhi chup hai
tilism-e-dasht-e-nawa bhi chup hai
fasil-e-shahr-e-ana bhi chup hai
zaban-e-KHalq-e-KHuda bhi chup hai
magar lahu hai ki bolta hai
KHizan-nasibon pe bain karti hui hawaen
junun-o-KHun ki mahak se labrez ye fazaen
samaaton mein shigaf karti hui sadaen
bata rahi hain
ana ke KHun-nab aansuon mein
wafa ke sab KHwab bujh gae hain

Nazm
KHizan-nasibon pe bain karti hui hawaen
Tariq Qamar