hamare shahr ki aabaadi ke darmiyan
kisi bhi samjhaute ke imkan ko mustarad karte hue
shahr ke shumal maghrib mein
dur tak phaili hui pahaDi mein ek shigaf Dal diya gaya hai
pahaDi ko kaTne ka ye achhuta KHayal
shahr ke kuchh meamaron ke zehn mein kya aaya
shahr ke makanon ke dar-o-diwar
is nai tafriq ke shor-o-shar se
tap kar surKH ho gae
aur shahr ke upar manDlane lage
qismat aazmaun ke azaem
shahr ko ab nae zawiyon se dekha jaane laga
ab is pahaDi mein
kai ek aise maqamat dikhai dene lage hain
jahan se use mazid kaTa
ya kamzor kiya ja sakta hai
pahaDi ke kaTte hi
us pas ki aabaadiyon ne apni hudud ko
nae sire se tartib de liya hai
kaTao se shahr mein hawa ka dabao
ghair-mustahkam ho gaya hai
gaDiyon ke route badalne lage
jami jamai aabaadi
mutazalzal ho gai
bazaron aur KHaridaron ke rang rup
aur chehre mohre tabdil ho gae hain
log shah-rahon
makanon
parkon
schoolon aur ibaadat-gahon ko
yun dekhne lage
jaise un ke bich bhi unhen
shigaf dikhai dene lage hon
kaTi hui pahaDi ne
hum sab ke chehron ke bich
ek mustaqil daraD Dal di hai
in meamaron se zyaada
jinhon ne pahaDi mein shigaf Dala
hum har us shai se KHauf-zada hain
jis mein ba-zahir koi shigaf ya daraD dikhai nahin deti
par jis ke darmiyan se
mustaqil jhank rahi hai
kaTi hui pahaDi
Nazm
KaTi pahaDi
Saeeduddin