dayar-e-hind tha gahwara yaad hai hamdam
bahut zamana hua kis ke kis ke bachpan ka
isi zamin pe khela hai 'ram' ka bachpan
isi zamin pe un nanhe nanhe hathon ne
kisi samay mein dhanush-ban ko sambhaala tha
isi dayar ne dekhi hai 'krishn' ki lila
yahin gharondon mein sita sulochana radha
kisi zamane mein guDiyon se khelti hongi
yahi zamin yahi dariya pahaD jangal bagh
yahi hawaen yahi subh-o-sham suraj chand
yahi ghaTaen yahi barq-o-rad o qaus-e-quzah
yahin ke git riwayat mausamon ke julus
hua zamana ki 'siddhaarth' ke the gahware
inhi nazaron mein bachpan kaTa tha 'wikram' ka
suna hai 'bhartarhari' bhi inhin se khela tha
'bharat' agastya' 'kapil' 'wyas' 'pashi' 'kautilya'
'janak' washishth' 'manu' 'walmik' wishwamitr
'kanad' 'gautam' o ramanuj 'kumaril-bhatt'
mohanjoDaro haDappa ke aur ajanta ke
banane wale yahin ballamon se khele the
isi hinDole mein 'bhawabhut' o 'kalidas' kabhi
humak humak ke jo tutla ke gungunae the
saraswati ne zabanon ko un ki chuma tha
yahin ke chand wa suraj khilaune the un ke
inhin fazaon mein bachpan pala tha 'KHusraw' ka
isi zamin se uThe 'tansen' aur 'akbar'
'rahim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' ne
inhin fazaon mein bachpan ke din guzare the
isi zamin pe kabhi shazada-e-'KHurram'
zara si dil-shikani par jo ro diya hoga
bhar aaya tha dil-e-nazuk to kya ajab is mein
in aansuon mein jhalak taj ki bhi dekhi ho
'ahalyabai' 'daman' 'padmini' o 'raziya' ne
yahin ke peDon ki shaKHon mein Dale the jhule
isi faza mein baDhai thi peng bachpan ki
inhi nazaron mein sawan ke git gae the
isi zamin pe ghuTnon ke bal chale honge
'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'
inhin fazaon mein gunji thi totli boli
'kabir-das' 'Tukaram' 'sur' o 'mira' ki
isi hinDole mein 'widdypati' ka kanTh khula
isi zamin ke the lal 'mir' o 'ghaalib' bhi
Thumak Thumak ke chale the gharon ke aangan mein
'anis' o 'haali' o 'iqbaal' aur 'waris-shah'
yahin ki KHak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'
yahin se uTThe the tahzib-e-hind ke meamar
isi zamin ne dekha tha baal-pan in ka
yahin dikhai thin in sab ne baal-lilaen
yahin har ek ke bachpan ne tarbiyat pai
yahin har ek ke jiwan ka baalkanD khula
yahin se uThte bagulon ke sath dauDe hain
yahin ki mast ghaTaon ke sath jhume hain
yahin ki madh-bhari barsat mein nahae hain
lipaT ke kichaD o pani se bachpane un ke
isi zamin se uTThe wo desh ke sawant
uDa diya tha jinhen company ne topon se
isi zamin se uThi hain an-ginat naslen
pale hain hind hinDole mein an-ginat bachche
mujh aise kitne hi gumnam bachche khele hain
isi zamin se isi mein supurd-e-KHak hue
zamin-e-hind ab aaram-gah hai un ki
is arz-e-pak se uTThin bahut si tahziben
yahin tulu huin aur yahin ghurub huin
isi zamin se ubhre kai ulum-o-funun
faraaz-e-koh-e-himala ye daur-e-gang-o-jaman
aur in ki god mein parwarda karwanon ne
yahin rumuz-e-KHiram-e-sukun-numa sikhe
nasim-e-subh-e-tamaddun ne bhairwin chheDi
yahin watan ke taranon ki wo pawen phuTen
wo be-qarar sukun-za tarannum-e-sahari
wo kapkapate hue soz-o-saz ke shoale
inhi fazaon mein angDaiyan jo le ke uThe
lawon se jin ke charaghan hui thi bazm-e-hayat
jinhon ne hind ki tahzib ko zamana hua
bahut se zawiyon se aaina dikhaya tha
isi zamin pe Dhali hai meri hayat ki sham
isi zamin pe wo subh muskurai hai
tamam shoala o shabnam meri hayat ki subh
sunaun aaj kahani main apne bachpan ki
dil-o-dimagh ki kaliyan abhi na chaTki thin
hamesha khelta rahta tha bhai bahnon mein
hamare sath mohalle ki laDkiyan laDke
machae rakhte the baalak udham har ek ghaDi
lahu tarang uchhal-phand ka ye aalam tha
mohalla sar pe uThae phire jidhar guzre
hamare chahchahe aur shor gunjte rahte
chahaar-samt mohalle ke goshe goshe mein
faza mein aaj bhi la-raib gunjte honge
agarche dusre bachchon ki tarah tha main bhi
ba-zahir auron ke bachpan sa tha mera bachpan
ye sab sahi mere bachpan ki shaKHsiyat bhi thi ek
wo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHal
ada ada mein koi shan-e-infiradi thi
gharaz kuchh aur hi lachchhan the mere bachpan ke
mujhe tha chhoTe baDon se bahut shadid lagaw
har ek par main chhiDakta tha apni nannhi si jaan
dil umDa aata tha aisa ki ji ye chahta tha
uTha ke rakh lun kaleje mein apni duniya ko
mujhe hai yaad abhi tak ki khel-kud mein bhi
kuchh aise waqfe pur-asrar aa hi jate the
ki jin mein sochne lagta tha kuchh mera bachpan
kai maani-e-be-lafz chhune lagte the
butun-e-ghaib se mere shuur-e-asghar ko
har ek manzar-e-manus ghar ka har gosha
kisi tarah ki ho ghar mein saji hui har chiz
mere mohalle ki galiyan makan dar-o-diwar
chabutre kuen kuchh peD jhaDiyan belen
wo pheri wale kai un ke bhant bhant ke bol
wo jaane bujhe manazir wo aasman o zamin
badalte waqt ka aaina garmi-o-KHunki
ghurub-e-mahr mein rangon ka jagta jadu
shafaq ke shish-mahal mein gudaz-e-pinhan se
jawahron ki chaTanen si kuchh pighalti huin
shajar hajar ki wo kuchh sochti hui duniya
suhani raat ki manus ramaziyat ka fusun
alassabah ufuq ki wo thartharaati bhawen
kisi ka jhankna aahista phuTti pau se
wo dopahar ka samay darja-e-tapish ka chaDhaw
thaki thaki si faza mein wo zindagi ka utar
hua ki bansiyan banswaDiyon mein bajti huin
wo din ke baDhte hue sae sah-pahar ka sukun
sukut sham ka jab donon waqt milte hain
gharaz jhalakte hue sarsari manazir par
mujhe guman paristaniyat ka hota tha
har ek chiz ki wo KHwab-nak asliyyat
mere shuur ki chilman se jhankta tha koi
liye rububiyat-e-kaenat ka ehsas
har ek jalwe mein ghaib o shuhud ka wo milap
har ek nazara ek aaina-KHana-e-hairat
har ek manzar-e-manus ek hairat-zar
kahin rahun kahin khelon kahin paDhun likhun
mere shuur pe manDlate the manazir-e-dahr
main akasr un ke tasawwur mein Dub jata tha
wafur-e-jazba se ho jati thi mizha pur-nam
mujhe yaqin hai in unsuri manazir se
ki aam bachchon se leta tha main ziyaada asar
kisi samay meri tifli rahi na be-parwa
na chhu saki meri tifli ko ghaflat-e-tifli
ye khel-kud ke lamhon mein hota tha ehsas
duaen deta ho jaise mujhe sukut-e-dawam
ki jaise hath abad rakh de dosh-e-tifli par
har ek lamha ke raKHnon se jhankti sadiyan
kahaniyan jo sunun un mein Dub jata tha
ki aadmi ke liye aadmi ki jag-biti
se baDh ke kaun si shai aur ho hi sakti hai
inhi fasanon mein pinhan the zindagi ke rumuz
inhi fasanon mein khulte the raaz-ha-e-hayat
unhen fasanon mein milti thin zist ki qadren
rumuz-e-besh-baha TheTh aadmiyat ke
kahaniyan thin ki sad-dars-gah-e-riqqat-e-qalb
har ek kahani mein shaistagi-e-gham ka sabaq
wo unsur aansuon ka dastan-e-insan mein
wo nal-daman ki katha sarguzasht-e-sawitri
'shakuntla' ki kahani 'bharat' ki qurbani
wo marg-e-bhishm-pitamah wo sej tiron ki
wo pancho panDaw ki sowarg-yatra ki katha
watan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'ram' ka ban-bas
wafa ke baad bhi 'sita' ki wo jala-watani
wo raaton-raat 'siri-krishn' ko uThae hue
bala ki qaid se 'basdew' ka nikal jaana
wo andhkar wo barish, baDhi hui jamuna
gham-e-afrin kahani wo 'hir' 'ranjha' ki
shuur-e-hind ke bachpan ki yaadgar-e-azim
ki aise waise taKHayyul ki sans ukhaD jae
kai muhayyur-e-idrak dew-malayen
hitopdesh ke qisse katha sarat-sagar
karoDon sinon mein wo gunjta hua aalha
main puchhta hun kisi aur malak walon se
kahaniyon ki ye daulat ye be-baha daulat
fasane dekh lo in ke nazar bhi aati hai
main puchhta hun ki gahware aur qaumon ke
base hue hain kahin aisi dastanon se
kahaniyan jo main sunta tha apne bachpan mein
mere liye wo na thin mahz bais-e-tafrih
fasanon se mere bachpan ne sochna sikha
fasanon se mujhe sanjidgi ke dars mile
fasanon mein nazar aati thi mujh ko ye duniya
gham o KHushi mein rachi pyar mein basai hui
fasanon se mere dil ne ghulawaTen pain
yahi nahin ki mashahir hi ke afsane
zara si umr mein karte hon mujh ko mutassir
mohalle Tole ke gumnam aadamiyyon ke
kuchh aise sunne mein aate the waqiat-e-hayat
jon yun to hote the farsuda aur mamuli
magar the aaine iKHlas aur sharafat ke
ye chand aai gai baaten aisi baaten thin
ki jin ki oT chamakta tha dard-e-insani
ye wardat nahin razmiyye hayat ke the
gharaz ki ye hain mere bachpane ki taswiren
nadim aur bhi kuchh KHatt-o-KHal hain un ke
ye meri man ka hai kahna ki jab main bachcha tha
main aise aadmi ki god mein na jata tha
jo bad-qimar ho aibi ho ya ho bad-surat
mujhe bhi yaad hai nau das baras hi ka main tha
to mujh pe karta tha jadu sa husn-e-insani
kuchh aisa hota tha mahsus jab main dekhta tha
shagufta rang tar-o-taza rup walon ka
ki un ki aanch meri haDDiyan gala degi
ek aazmaish-e-jaan thi ki tha shuur-e-jamal
aur us ki nashtariyyat us ki ustuKHan-sozi
gham o nashat lagawaT mohabbat o nafrat
ek intishaar-e-sakun iztirab pyar itab
wo be-panah zaki-ul-hisi wo hilm o ghurur
kabhi kabhi wo bhare ghar mein hiss-e-tanhai
wo wahshaten meri mahaul-e-KHush-gawar mein bhi
meri sarisht mein ziddain ke kai joDe
shurua hi se the maujud aab-o-tab ke sath
mere mizaj mein pinhan thi ek jadaliyyat
ragon mein chhuTte rahte the be-shumar anar
nadim ye hain mere baal-pan ke kuchh aasar
wafur o shiddat-e-jazbaat ka ye aalam tha
ki kaunde jast karen dil ke aabgine mein
wo bachpana jise bardasht apni mushkil ho
wo bachpana jo KHud apni hi tewriyan si chaDhae
nadim zikr-e-jawani se kanp jata hun
jawani aai dabe panw aur yun aai
ki us ke aate hi bigDa bana-banaya khel
wo KHwahishat ke jazbaat ke umaDte hue
wo honkte hue be-nam aag ke tufan
wo phuTta hua jwala-mukhi jawani ka
ragon mein uThti hui aandhiyon ke wo jhaTke
ki jo tawazun-e-hasti jhinjhoD ke rakh den
wo zalzale ki pahaDon ke pair ukhaD jaen
bulughiyat ki wo Tisen wo karb-e-nashw-o-numa
aur aise mein mujhe byaha gaya bhala kis se
jo ho na sakti thi hargiz meri sharik-e-hayat
hum ek dusre ke waste bane hi na the
siyah ho gai duniya meri nigahon mein
wo jis ko kahte hain shadi-e-KHana-abaadi
mere liye wo bani bewgi jawani ki
luTa suhag meri zindagi ka manDo mein
nadim kha gai mujh ko nazar jawani ki
bala-e-jaan mujhe ho gaya shuur-e-jamal
talash-e-shola-e-ulfat se ye hua hasil
ki nafraton ka agan-kunD ban gai hasti
wo halq o sina o rag rag mein be-panah chubha
nadim jaise nigal li ho main ne nag-phani
z ishq-zadam o ishqam kamusht zar-o-daregh
KHabar na burd ba-rustam kase ki sohrabam
na puchh aalam-e-kaam-o-dahan nadim mere
samar hayat ka jab rakh bin gaya munh mein
main chalti-phirti chita ban gaya jawani ki
main kandha deta raha apne jite murde ko
ye sochta tha ki ab kya karun kahan jaun
bahut se aur masaib bhi mujh pe TuT paDe
main DhunDhne laga har samt sachchi jhuTi panah
talash-e-husn mein sher-o-adab mein dosti mein
rundhi sada se mohabbat ki bhik mangi hai
nae sire se samajhna paDa hai duniya ko
baDe jatan se sambhaala hai KHud ko main ne nadim
mujhe sambhalne mein to chaalis sal guzre hain
meri hayat to wish-pan ki katha hai nadim
main zahr pi ke zamane ko de saka amrit
na puchh main ne jo zahraba-e-hayat piya
magar hun dil se main is ke liye sipas-guzar
larazte hathon se daman KHulus ka na chhaTa
bacha ke rakkhi thi main ne amanat-e-tifli
ise na chhin saki mujh se dast-burd-e-shabab
ba-qaul shaer-e-mulk-e-farang har bachcha
KHud apne ahd-e-jawani ka bap hota hai
ye kam nahin hai ki tifli-e-rafta chhoD gai
dil-e-hazin mein kai chhoTe chhoTe naqsh-e-qadam
meri ana ki ragon mein paDe hue hain abhi
na jaane kitne bahut narm ungliyon ke nishan
hanuz waqt ke be-dard hath kar na sake
hayat-e-rafta ki zinda nishaniyon ko fana
zamana chhin sakega na meri fitrat se
meri safa mere tahtush-shuur ki ismat
taKHaiyyulat ki doshizgi ka radd-e-amal
jawan ho ke bhi be-laus tifl-wash jazbaat
syana hone pe bhi ye jibillaten meri
ye sarKHushi o gham be-riya ye qalb-gudaz
baghair bair ke an-ban gharaz se pak tapak
gharaz se pak ye aansu gharaz se pak hansi
ye dasht-e-dahr mein hamdardiyon ka sar-chashma
qubuliyat ka ye jazba ye kaenat o hayat
is arz-e-pak par iman ye ham-ahangi
har aadmi se har ek KHwab o zist se ye lagaw
ye man ki god ka ehsas sab manazir mein
qarib o dur zamin mein ye bu-e-wataniyyat
nizam-e-shams-o-qamar mein payam-e-hifz-e-hayat
ba-chashm-e-sham-o-sahar mamta ki shabnam si
ye saz o dil mein mere naghma-e-analkaunain
har iztirab mein ruh-e-sukun-e-be-payan
zamana-e-guzaran mein dawam ka sargam
ye bazm-e-jashn-e-hayat-o-mamat sajti hui
kisi ki yaad ki shahnaiyan si bajti hui
ye ramaziyat ke anasir shuur-e-puKHta mein
falak pe wajd mein lati hai jo farishton ko
wo shaeri bhi bulugh-e-mizaj-e-tifli hai
ye nashtariyyat-e-hasti ye is ki sheriyat
ye patti patti pe gulzar-e-zindagi ke kisi
latif nur ki parchhaiyan si paDti hui
baham ye hairat o manusiyat ki sargoshi
bashar ki zat ki mahr-e-uluhiyat ba-jabin
abad ke dil mein jaDen marta hua sabza
gham-e-jahan mujhe aankhen dikha nahin sakta
ki aankhen dekhe hue hun main ne apne bachpan ki
mere lahu mein abhi tak sunai deti hain
sukut-e-huzn mein bhi ghunghruon ki jhankaren
ye aur baat ki main is pe kan de na sakun
isi wadiat-e-tifli ka ab sahaara hai
yahi hain marham-e-kafur dil ke zaKHmon par
unhi ko rakhna hai mahfuz ta-dam-e-aKHir
zamin-e-hind hai gahwara aaj bhi hamdam
agar hisab karen das karoD bachchon ka
ye bachche hind ki sab se baDi amanat hain
har ek bachche mein hain sad-jahan-e-imkanat
magar watan ka hal-o-aqd jin ke hath mein hai
nizam-e-zindagi-e-hind jin ke bas mein hai
rawayya dekh ke un ka ye kahna paDta hai
kise paDi hai ki samjhe wo is amanat ko
kise paDi hai ki bachchon ki zindagi ko bachae
KHarab hone se Talne se sukh jaane se
bachae kaun in aazurda honhaaron ko
wo zindagi jise ye de rahe hain bhaarat ko
karoDon bachchon ke miTne ka ek alamiyya hai
churae jate hain bachche abhi gharon se yahan
ki jism toD diye jaen un ke taki mile
churane walon ko KHairaat magh-mele ki
jo is azab se bach jaen to gale paD jaen
wo lanten ki hamare karoDon bachchon ki
nadim KHair se miTTi KHarab ho jae
wo muflisi ki KHushi chhin le wo be-bargi
udasiyon se bhari zindagi ki be-rangi
wo yasiyat na jis ko chhue shua-e-umid
wo aankhen dekhti hain har taraf jo be-nuri
wo TukTuki ki jo pathra ke rah gai ho nadim
wo be-dili ki hansi chhin le jo honTon se
wo dukh ki jis se sitaron ki aankh bhar aae
wo gandagi wo kasafat maraz-zada paikar
wo bachche chhin gae hon jin se bachpane un ke
hamin ne ghonT diya jis ke bachpane ka gala
jo khate-pite gharon ke hain bachche un ko bhi kya
samaj phulne-phalne ke de saka sadhan
wo sans lete hain tahzib-kush fazaon mein
hum un ko dete hain be-jaan aur ghalat talim
milega ilm-e-jihaalat-numa se kya un ko
nikal ke madrason aur uniwersitiyyon se
ye bad-nasib na ghar ke na ghaT ke honge
main puchhta hun ye talim hai ki makkari
karoDon zindagiyon se ye be-panah dagha
nisab aisa ki mehnat karen agar is par
bajae ilm jahaalat ka iktisab karen
ye ulTa dars-e-adab ye saDi hui talim
dimagh ki ho ghiza ya ghiza-e-jismani
har ek tarah ki ghiza mein yahan milawaT hai
wo jis ko bachchon ki talim kah ke dete hain
wo dars ulTi chhuri hai gale pe bachpan ke
zamin-e-hind hinDola nahin hai bachchon ka
karoDon bachchon ka ye des ab janaza hai
hum inqalab ke KHatron se KHub waqif hain
kuchh aur roz yahi rah gae jo lail-o-nahaar
to mol lena paDega hamein ye KHatra bhi
ki bachche qaum ki sab se baDi amanat hain
Nazm
HinDola
Firaq Gorakhpuri