jahan-zad
wo halab ki karwan-saraa ka hauz, raat wo sukut
jis mein ek dusre se ham-kinar tairte rahe
muhit jis tarah ho daere ke gird halqa-zan
tamam raat tairte rahe the hum
hum ek dusre ke jism o jaan se lag ke
tairte rahe the ek shad-kaam KHauf se
ki jaise pani aansuon mein tairta rahe
hum ek dusre se mutmain zawal-e-umr ke KHilaf
tairte rahe
tu kah uThi 'hasan yahan bhi khinch lai
jaan ki tishnagi tujhe!'
(lo apni jaan ki tishnagi ko yaad kar raha tha main
ki mera halq aansuon ki be-baha saKHawaton
se shad-kaam ho gaya!)
magar ye wahm dil mein tairne laga ki ho na ho
mera badan kahin halab ke hauz hi mein rah gaya
nahin, mujhe dui ka wahima nahin
ki ab bhi rabt-e-jism-o-jaan ka e'tibar hai mujhe
yahi wo e'tibar tha
ki jis ne mujh ko aap mein samo diya
main sab se pahle 'ap' hun
agar hamin hon tu ho aur main hun phir bhi main
har ek shai se pahle aap hon!
agar main zinda hun to kaise aap se dagha karun?
ki tere jaisi aurten, jahan-zad,
aisi uljhanen hain
jin ko aaj tak koi nahin 'sulajh' saka
jo main kahun ke main 'sulajh' saka to sar-ba-sar
fareb apne aap se!
ki auraton ki saKHt hai wo tanz apne-ap par
jawab jis ka hum nahin
(labib kaun hai? tamam raat jis ka zikr
tere lab pe tha
wo kaun tere gesuon ko khinchta raha
labon ko nochta raha
jo main kabhi na kar saka
nahin ye sach hai main hun ya labib ho
raqib ho to kis liye teri KHud-agahi ki be-riya nashat-e-nab ka
jo sad-nawa o yak-nawa KHiram-e-subh ki tarah
labib har nawa-e-saz-gar ki nafi sahi!)
magar hamara rabta visal-e-ab-o-gil nahin, na tha kabhi
wajud-e-admi se aab-o-gil sada barun rahe
na har visal-e-ab-o-gil se koi jam ya subu hi ban saka
jo in ka ek wahima hi ban sake to ban sake!
jahan-zad
ek tu aur ek wo aur ek main
ye tin zawiye kisi musallas-e-qadim ke
hamesha ghumte rahe
ki jaise mera chaak ghumta raha
magar na apne-ap ka koi suragh pa sake
musallas-e-qadim ko main toD, dun jo tu kahe, magar nahin
jo sehr mujh pe chaak ka wahi hai is musallas-e-qadim ka
nigahen mere chaak ki jo mujh ko dekhti hain
ghumte hue
subu-o-jam par tera badan tera hi rang teri nazuki
baras paDi
wo kimiya-gari tere jamal ki baras paDi
main sail-e-nur-e-andrun se dhul gaya!
mere daron ki KHalq yun gali gali nikal paDi
ki jaise subh ki azan sunai di!
tamam kuze bante bante 'tu' hi ban ke rah gae
nashat is visal-e-rah-guzar ki na-gahan mujhe nigal gai
yahi pyala-o-surahi-o-subu ka marhala hai wo
ki jab KHamir-e-ab-o-gil se wo juda hue
to un ko samt-e-rah-e-nau ki kaamraniyan milen
main ek gharib kuza-gar
ye intiha-e-marifat
ye har pyala-o-surahi-o-subu ki intiha-e-marifat
mujhe ho is ki kya KHabar?
jahan-zad
intizar aaj bhi mujhe hai kyun wahi magar
jo nau baras ke daur-e-na-saza mein tha?
ab intizar aansuon ke dajla ka
na gumrahi ki raat ka
shab-e-gunah ki lazzaton ka itna zikr kar chuka
wo KHud gunah ban gain!
halab ki karwan-sara ke hauz ka, na maut ka
na apni is shikast-KHurda zat ka
ek intizar-e-be-aman ka tar hai bandha hua!
kabhi jo chand saniye zaman-e-be-zaman mein aa ke ruk gae
to waqt ka ye bar mere sar se bhi utar gaya
tamam rafta o guzishta surton, tamam hadson
ke sust qafile
mere darun mein jag uThe
mere darun mein ek jahan-e-baz-yafta ki rel-pel jag uThi
bahisht jaise jag uThe KHuda ke la-shuur mein!
main jag uTha ghunudgi ki ret par paDa hua
ghunudgi ki ret par paDe hue wo kuze jo
mere wajud se barun
tamam reza reza ho ke rah gae the
mere apne-ap se firaq mein
wo phir se ek kul bane (kisi nawa-e-saz-gar ki tarah)
wo phir se ek raqs-e-be-zaman bane
wo ruyat-e-azal bane!
Nazm
Hasan kuza-gar(3)
Noon Meem Rashid