jahan-zad kaise hazaron baras baad
ek shahr-e-madfun ki har gali mein
mere jam o mina o gul-dan ke reze mile hain
ki jaise wo is shahr-e-barbaad ka hafiza hon
hasan nam ka ek jawan kuza-gar ek nae shahr mein
apne kuze banata hua ishq karta hua
apne mazi ke taron mein hum se piroya gaya hai
hamin mein ki jaise hamin hon samoya gaya hai
ki hum tum wo barish ke qatre the jo raat bhar se
hazaron baras rengti raat bhar
ek dariche ke shishon pe girte hue sanp lahren
banate rahe hain
aur ab is jagah waqt ki subh hone se pahle
ye hum aur ye naujawan kuza-gar
ek ruya mein phir se piroe gae hain
jahan-zad
ye kaisa kohna-paraston ka amboh
kuzon ki lashon mein utra hai
dekho
ye wo log hain jin ki aankhen
kabhi jam o mina ki lim tak na pahunchin
yahi aaj is rang o roghan ki maKHluq-e-be-jaan
ko phir se ulaTne palaTne lage hain
ye un ke tale gham ki chingariyan pa sakenge
jo tariKH ko kha gai thin
wo tufan wo aandhiyan pa sakenge
jo har chiKH ko kha gai thin
unhen kya KHabar kis dhanak se mere rang aae
mere aur is naujawan kuza-gar ke
unhen kya KHabar kaun si titliyon ke paron se
unhen kya KHabar kaun se husn se
kaun si zat se kis KHadd-o-KHal se
main ne kuzon ke chehre utare
ye sab log apne asiron mein hain
zamana jahan-zad afsun-zada burj hai
aur ye log us ke asiron mein hain
jawan kuza-gar hans raha hai
ye masum wahshi ki apne hi qamat se zholida-daman
hain juya kisi azmat-e-na-rasa ke
unhen kya KHabar kaisa aaseb-e-mubram mere ghaar sine pe tha
jis ne mujh se aur us kuza-gar se kaha
ai hasan kuza-gar jag
dard-e-risalat ka roz-e-bashaarat tere jam o mina
ki tishna-labi tak pahunchne laga hai
yahi wo nida ke pichhe hasan nam ka
ye jawan kuza-gar bhi
pyape rawan hai zaman se zaman tak
KHizan se KHizan tak
jahan-zad main ne hasan kuza-gar ne
bayaban bayaban ye dard-e-risalat saha hai
hazaron baras baad ye log
rezon ko chunte hue
jaan sakte hain kaise
ki mere gil o KHak ke rang o roghan
tere nazuk aaza ke rangon se mil kar
abad ki sada ban gae the
main apne masamon se har por se
teri banhon ki pahnaiyan
jazb karta raha tha
ki har aane wale ki aankhon ke mabad pe ja kar chaDhaun
ye rezon ki tahzib pa len to pa len
hasan kuza-gar ko kahan la sakenge
ye us ke pasine ke qatre kahan gin sakenge
ye fan ki tajalli ka saya kahan pa sakenge
jo baDhta gaya hai zaman se zaman tak
KHizan se KHizan tak
jo har naujawan kuza-gar ki nai zat mein
aur baDhta chala ja raha hai!
wo fan ki tajalli ka saya ke jis ki badaulat
hama ishq hain hum
hama kuza-gar hum
hama-tan KHabar hum
KHuda ki tarah apne fan ke KHuda sar-ba-sar hum
aarzuen kabhi payab to saryab kabhi
tairne lagte hain behoshi ki aankhon mein kai chehre
jo dekhe bhi na hon
kabhi dekhe hon kisi ne to suragh un ka
kahan se pae
kis se ifa hue andoh ke aadab kabhi
aarzuen kabhi payab to saryab kabhi
ye kuzon ke lashe jo in ke liye hain
kisi dastan-e-fana ke waghaira waghaira
hamari azan hain hamari talab ka nishan hain
ye apne sukut-e-ajal mein bhi ye kah rahe hain
wo aankhen hamin hain jo andar khuli hain
tumhein dekhti hain har ek dard ko bhanpti hain
har ek husn ke raaz ko jaanti hain
ki hum ek sunsan hujre ki us raat ki aarzu hain
jahan ek chehra daraKHton ki shaKHon ke manind
ek aur chehre pe jhuk kar har insan ke sine mein
ek barg-e-gul rakh gaya tha
usi shab ka duz-dida bosa hamin hain
Nazm
Hasan kuza-gar (4)
Noon Meem Rashid