اردو हिंदी
Hum | Shaahi Shayari
hum

Nazm

Hum

Zia Jalandhari

;

1
bichhi hui hai bisat kab se

zamana shatir hai aur hum
is bisat ke zisht-o-KHub-KHanon mein

dast-e-nadida ke ishaaron pe chal rahe hain
bichhi hui hai bisat azal se

bichhi hui hai bisat jis ki na ibtida hai na intiha hai
bisat aisa KHala hai jo wusat-e-tasawwur se mawara hai

karishma-e-kaenat kya hai
bisat par aate jate mohron ka silsila hai

bisat sakit hai waqt-e-mutlaq
bisat be-jumbish aur be-his hai

apne mohron se la-talluq hai
us ko is se gharaz nahin hai

ki kaun jita hai
aur kis ne shikast khai

wajud hadis wajud mohre
bisat-e-sakit ki wusaton mein

zamin ahl-e-zamin aflak ahl-e-aflak
apni apni muayyana saaton mein aise guzar rahe hain

ki jaise aankhon se KHwab guzren
bisat par jo bhi hai

wo hone ki mohlaton mein asir
paiham badal raha hai

wajud wo hiddat-e-rawan hai
jo nit-nai haiaton mein baqi hai

aur us ko fana nahin
jahan pahaDon ke aasman-bos silsile hain

wahan kabhi bahr maujzan the
jahan bayaban mein ret uDti hai

baad-e-masmum gunjti hai
wahan kabhi sabza-zar-o-gul-gasht ka saman tha

buland-o-baala haqir-o-hech
is shikast-o-tamir ke tasalsul mein bah rahe hain

shikast-o-tamir ke tasalsul mein tu hai main hun
hum aise mohre

jinhen irade diye gae hain
ye jan ki taufiq par haden hain

jinhen tamanna ke rang dikhla diye gae hain
magar wasilon par qadghanen hain

jinhen mohabbat ke Dhang sikhla diye gae hain
pa dast-o-pa mein salasil-e-nau bano

to gardan mein tauq pahna diye gae hain
jo hai jo ab tak hua hai jo ho raha hai

us se kise mafar hai
koi jo chahe

ki ahd-e-rafta se ek pal phir se lauT aae
kaha hua lafz an-kaha ho sake

to is aarzu ka hasil wo jaanta hai
bahut sahi iKHtiyar-o-imkan

barg-o-KHas ki tab-o-majal kya hai
numu-e-ghuncha mein us ka apna kamal kya hai

teri nigahon mein tera gham koh se giran-tar hai
tu samajhta hai

tere sine ke surKH lawe se
shahr-o-qarya pighal rahe hain

KHizan zamistan teri udasi ke aaine hain
tu mushtail ho to zalzalon se zamin kanpe

tujhe guman hai
ki gul khile hain tere tabassum ki pairwi mein

ye phul ko iKHtiyar kab tha
ki kaun si shaKH par khile

kaun kunj mein muskurae
aur kin fazaon mein KHushbuen bikhere

nahif shoala jamal konpal
jo dast-e-nazuk ki narm poron se dhire dhire

daricha-e-shaKH khol kar
subh ki sapedi mein jhankti hai

ye sochti hai
ki bagh sara usi ke dam se mahak raha hai

usi ke partaw se gosha gosha damak raha hai
usi ke didar mein magan

KHushbuon se bojhal hawaon mein
shoKH titliyan raqs kar rahi hain

wo be-KHabar hai
ki shatir-e-waqt ki nazar mein

koi ikai
shajar hajar ho ki zi-nafas ho

nizam-e-kul se alag nahin hai
wo ye nahin jaanti ki hasti ke kar-KHane mein

us ka hona na hona be-nam hadisa hai
aur us ke hisse ka kul asasa

wo chand lamhe wo chand sansen hain
jin mein wo KHwab dekhti hai

saliqa-e-zat se chaman ko sanwarne ka
bahaar-e-jaan ko nikhaarne ka

2
baja ki na-paedar hai ye wajud mera

main ghair-fani hayat ke silsile mein
ek bich ki kaDi hun

rahin-e-gardish bhi markaz-e-kaenat bhi hun
jo main ne dekha hai wo mere KHun mein rach gaya hai

jo main ne socha hai mujh mein zinda hai
aur jo kuchh suna hai mujh mein sama gaya hai

hawa ki surat har ek ehsas
meri sanson mein ji raha hai

har ek manzar mere tasawwur mein bas gaya hai
main zat-e-mahdud apni pahnaiyon mein

ek kaenat bhi hun
meri ragon mein wo joshash-e-jawedan rawan hai

jo shaKH mein phul ki numu hai
jo bahr mein mauj ki taDap hai

par-e-kabutar mein tab-e-parwaz hai
sitaron mein raushni hai

main apne hone ke sab hawalon mein runuma hun
main ja-ba-ja surat-e-saba hun

ghazal-e-KHush-chashm ki kaliyon mein khelta hun
humakte bachche ki muskurahaT hun

pir-e-shab-KHez ki dua hun
main mehr mein mahtab mein hun

ye kaisi chahat hai jis se main
ek mustaqil iztirab mein hun

wo kaun si manzil talab thi
ki ranjha ranjha pukarti hir

aap hi ranjha ho gai thi
falak se anwar

koh se chashme
shaKH se phul phuTte hain

magar har ek phul mein nami bhi hai raushni bhi
zaban mein alfaz

aankh mein did
dil mein ehsas rakh diye gae hain

pa lafz ehsas did ek dusre ka paiwand ho gae hain
numu-o-taKHliq ke amal bar bar dohrae ja rahe hain

jamal-e-arz-o-sama ki takmil ho rahi hai
mohabbat eajaz-e-sarmadi hai

tumhaari aankhon ki muskurahaT mein
meri chahat ki raushni hai

yunhi shagufon ke pas baiThi raho
shuaon ko aariz-o-lab se khelne do

hawa ke hathon ko apne gesu bikherne do
bahaar ki sari KHushbuen

apne bazuon mein sameT lo
mere chashm-o-dil ko yaqin dilao

ki tum faqat KHwab hi nahin ho
guzarte baadal ka koi aks-e-rawan nahin ho

tum ek haqiqat ho mahz wahm-o-guman nahin ho
mere qarib aao aur meri zat ko miTa do

mujhe tum apne jamal ki zau mein jazb kar lo
visal mein fard ki fana hai

visal mein fard ki baqa hai
visal mein fard ki baqa hai

bahaar ki did aarzi hai
bahaar-e-tajrid daimi hai

widaa ke waqt aansuon mein
wo sare manzar jhalak rahe hain

jo shaKH-e-jaan par gulon ki surat khile hue the
wo sare imkan jhalak rahe hain

jo kirchi kirchi bikhar gae hain
bikharne walon ko apne markaz ki aarzu hai

nahin mujhe is tarah na dekho
ki jaise nazron mein ruh tak umDi aa rahi ho

ye hath kuchh der aur rahne do mere hathon mein
kuchh na bolo

ki main ye nayab lamhe aankhon mein jazb kar lun
ye saniye ruh mein chhupa lun

har ek lamha ek armughan hai
tumhaari chahat ka armughan hai

ye saniye aise phul hain
jo ki khilte rahte hain dil hi dil mein

shagufta rahte hain rahte dam tak
ye chand lamhe kisi kisi ke nasib mein hain

wagarna umren
ghamon ke kanTe nikalne mein guzar gai hain

3
wo sham hotel mein is tarah aai

jaise dushman ki fauj utre
jagah jagah jast aur kansi ke chehre

jham jham khanak rahe the
tamam hotel jigar jigar jagmaga raha tha

main kunj tanhai mein tahayyur se dekhta tha
ki kaise KHush-bash hain jinhen ye KHabar nahin hai

ki un ki buniyaad ukhaD chuki hai
hawaen masmum ho chuki hain

shajar phalon se lade hain lekin
jaDon ka zahr un phalon ke reshon tak aa gaya hai

jo haal ab hai kabhi nahin tha
hayat KHar-o-zabun to thi lekin itni KHar-o-zabun nahin thi

wo der se intizar-gah mein
har aane wale ko nazron nazron mein napti thi

libas ki shoKHi-o-jasarat
singhaar ki jiddat-o-mahaarat ke bawajud

is ka gosha-e-chashm umr ki chughli kha raha tha
nigah nau-warid ajnabi par paDi to is tarah muskura di

ki jaise us ki hi muntazir thi
uThi qarib aai aur boli

main ek muddat se KHidmat-e-KHalq kar rahi hun
dukhe dilon ka ilaj karti hun

rang aur raushni ke shahron mein
sham-e-tanhai ki dil afsurdagi se waqif hun

aap akele hain to koi intizam kar dun
yahan se main dur dur mulkon ko

har tabiat ke gahakon ki pasand ka mal bhejti hun
wafa mohabbat purani baaten hain ab inhen kaun puchhta hai

baDe baDe unche unche logon se raat din mera wasta hai
ye sahiban-e-waqar-o-naKHwat

KHaridna aur bechna KHub jaante hain
ye dam dete hain aur rahat KHaridte hain

baja hai ye bhi ki be-bason ki ana-o-izzat KHaridte hain
magar jab aate hain bechne par

to be-takalluf zamir tak apna bech dete hain
jah-o-sarwat ki manDiyon mein

main kah rahi thi ki aap chahen to
aaj ki raat ka koi intizam kar dun

wo sham ke waqt KHun mein lat-pat
saDak ke kinare paDa hua tha

guzarne walon se kah raha tha
hamein hamare muhafizon se

najat ka rasta batao
wo KHwahish-e-iqtidar-o-daulat mein

hum ko nilam kar rahe hain
uKHuwwat-o-ittihad ka dard dene wale

KHud apne bachchon ke KHun se
hirs-o-hawas ki shamen jala rahe hain

hamari aqdar
aaj matruk fashionon ke libas ki tarah

un ki nazron se gir chuki hain
ab un ki aulad un ki resha-dawaniyon se panah

taza b-taza nashon mein DhunDti hai
inhi ki shah pa ke nasl-e-nau

apni pyas ek dusre ke KHun se bujha rahi hai
ye sang-dil jashn-e-marg-e-amboh-e-be-gunahan mana rahe hain

koi hamein in najib surat
haris be-mehr kargon se

najat ka rasta batao
ye naghma-e-kaenat ki be-suri sadaen hain

koi in se najat ka rasta batao
4

hum apne KHwabon mein ji rahe hain
hum apne subh-o-sham se tang aa ke

KHwab bunte hain aur KHwabon mein ji rahe hain
bisat-e-sakit se koi shikwa

na shatir-e-waqt se gila hai
hamein shikayat hai aadmi se

ki aadmi aadmi ka dozaKH bana hua hai
ajab tazadat ka muraqqa hai aadmi bhi

wo ahrman bhi hai aur yazdan-jamal bhi hai
sadaqat-o-husn ka talabgar bhi wahi hai

bahimiyat aur wahshat-o-jabr ka parastar bhi wahi hai
zamin pe qabil ke qabile ki rasm-e-be-dad auj par hai

magar hamara azab is se bhi talKH-tar hai
ki hum jo habil ke hawari the

ahd-e-habil mein bhi zanjir hi rahe hain
shabahaton ke fareb-KHurda the ye na jaana

naqab-poshon mein kaun kya hai
hamein to gham tha ki nashsha-e-iqtidar

qabil ho ki habil
jis kisi ko chaDha

wo insaniyat ko taraj kar gaya hai
hamare KHwabon se Dar rahe hain

wo Dar rahe hain ki KHwab alfaz mein Dhale to
darogh ke parde chaak honge

aur un ke chehron ka ghaza utra
to aaine bhi azab honge

hum aise mohre
jinhen irade diye gae hain

ye jin ki taufiq par haden hain
hamein shikasten huin magar har shikast mahmez ho gai hai

hamare sathi gire pa raftar aur kuchh tez ho gai hai
yahan ki sangin be-hisi mein

hamari koshish ka haal ye hai
ki jis tarah koi titari

ek KHizan-zada bagh-e-be-numu mein
bhari bahaaron ki justuju mein

tabassum-e-gul ki aarzu mein
shajar shajar shaKH shaKH betab phir rahi ho

hamare hote bahaar aae na aae lekin
hamein ye taskin hai ki hum ne

hayat-e-na-paedar ki ek ek saat
chaman ki haiat sanwarne mein guzar di hai

faza-e-hasti nikhaarne mein guzar di hai