rabb-ul-izzat
wo zamin jise tu ne bani aadam ke liye jannat banaya tha
aur amn ke gahware ka nam diya tha
jahan hamari aazmaish ke liye shajar-e-mamnua ke sath sath
hamari rububiyat ke liye tu ne shajar-e-hayat bhi ugaya tha
hamari wo zamin pani hawa aur KHushki ki maKHluq ka mushtarka ghar thi
is pyari zamin par aabaad sari maKHluq ek dusre se raazi thi
aur jis ki sari maKHluq ko baham raazi dekh kar tu bhi hum se raazi tha
ai rabb-ul-izzat hum ne wo zamin apne hathon barbaad kar ke rakh di hai
hamara tujh par koi haq nahin ki zid karen
lekin tu ne tauba ka darwaza to khula rakkha hai
be-shak tauba ki ibtida e'tiraf se hoti hai
magar is ki intiha hamesha dua se hoti aai hai
mere pas dua ke laeq alfaz nahin hain
lekin tere pas meri gungi iltija sunne ke liye bahut achchhe kan hain
husn-e-samaat tujh par KHatm hai
is liye ki tu azal se muztaron ki sunta aur murda zaminon ko zinda karta aaya hai
sun ai samia sun
ek martaba phir is zamin par amn ummid aur masarrat ke pharere lahra de
ek martaba phir is ke beTe beTiyon ka hath pakaD
unhen adhure-pan se najat de de
pura kar de unhen
wo hawas aur be-sabri ki khaulti daldal mein
bad-surat meinDakon ki tarah aundhe munh paDe hain
unhen pure qad se khaDa kar de
un ki azmat-e-adam lauTa de
unhen ek dusre par e'timad karna sikha de
taufiq de unhen ki teri ata karda quwwat-e-taKHliq se
zamin ko husn aur mani se mala-mal kar den
ehtiram Dal de in ke dil-o-dimagh mein is zamin ke liye
apni us man ke liye
us ki sari maKHluq ke liye
nasl aqide jins aur saqafat ka farq in ki wahdat mein nae rang bhare
wo pure kurra-e-arz par phaile hon lekin ek dusre ka hath pakaD kar
wo pure kurra-e-arz ko ek aise dastarKHwan ki shakl de den
jis par zamin ka sara rizq zamin ki sari maKHluq ke liye aam ho
chhe arab insan hi nahin zamin ki sari maKHluq sairab-o-shad-kaam ho
ai rabb-ul-izzat
tu ne is zamin ki surat mein jo jannat hamein di thi
hum ne use apne liye jahannam bana liya hai
ye jahannam sirf nifaq aur nafrat hi nahin KHauf se bhi labrez hai
ek dusre se KHauf apne aap se KHauf
aur KHauf to mohabbat ki nafi hota hai
aur sari mohabbaton ki ibtida aur intiha
hamein ek martaba phir mohabbat se sarshaar kar de
ki mohabbat ke baghair hamein na to sachcha amn nasib hoga aur na sachchi zindagi
hum mohabbat se mahrum rahe to KHwah to zamin ko sau martaba bhi jannat bana de
hum hazar martaba use jahannam bana ke rakh denge
hum ne nafrat nifaq aur KHauf ko aazma kar dekh liya hai
ai rabb-ul-izzat
hamare wajud mohabbat ke liye is tarah taras rahe hain
jaise pyasi zamin barish ke liye tarasti hai
hamein mohabbat nasib kar de
Nazm
Gungi iltija
Mohammad Haneef Rame