kyun hairat se takti hai ek ek chehre ko
kya tujh ko shikwa hai teri goyai ki taqat
chhin ke qudarat ne be-insafi ki hai?
kya tujh ko ehsas hai tere pas agar guftar ki neamat hoti
to is chaaron jaanib phaili hathiyaron ki duniya
sina dahla dene wale tayyaron ki insan-kush aawazen
aawazen jin mein insan ki ruh shabana roz dabi jati hai
mahshar-KHez aawazen kal-purzon ki jin se nafsi-nafsi ka aalam paida ho kar
din par din ifrit ki surat mein baDhta jata hai
in aawazon ki haibat-naki par wawaila karti
tu aawaz uThati us fashi aur tassub phailane wale unsur ko baDhta pa kar
jo hubb-ul-watani ke nam pe insan-kush hota jata hai
tu un rujhanat ki KHub mazammat karti
un se laDti jo is duniya ko pichhe le jaane mein koshan hain
'mazhab aur tahzib'
'saqafat' aur 'taraqqi' kah kar rajat-parwar ho jate hain
le main tujh ko apni goyai deta hun!
ye mere kaam nahin aai kuchh
main aisa buzdil hun jo har be-insafi ko chupke chupke sahta hai
jis ne 'maqtal' aur 'qatil' donon dekhe hain
lekin danai kah kar
apni goyai ko gunga kar rakha hai!
Nazm
Gungi aurat
Akhtar-ul-Iman