اردو हिंदी
Ghas mein chhupe sanp | Shaahi Shayari
ghas mein chhupe sanp

Nazm

Ghas mein chhupe sanp

Mohammad Haneef Rame

;

main ghas hun
hari-bhari ghas

pani mile to hari-bhari na mile to ghas-phus
thoDi nargisiyat ki ijazat dijiye

are jab ugti hun to kya joban hota hai mujh par
nai nai ghas par suraj ki kirnen paDti hain to

andhon ki aankhon mein bhi tarawat utar aati hai janab
aur hae wo taza taza ghas ki KHushbu

par afsos jab der tak barish na ho to pili paD jati hun
magar dhup pahle mujhe sona aur phir kundan bana deti hai

zamin par istada hazaron pahaDiyon par mera hi rang chaDha hota hai
aankh rakhne wale kahte hain

sabze se Dhaki pahaDiyan kitni bhi hasin hon
sone se Dhaki pahaDiyon ki baat hi alag hai

lekin ye main kya baD hankne baiTh gai
aamdan barsar-e-matlab main sanpon ke bare mein kuchh kahna chahti hun

sanp jo ghas mein chhup kirdar karte hain
ghas se Dhake lawn bagh aur park

karoDon insanon ko taskin dete hain
bachche ghas par bhagte dauDte uchhalte kudte aur loT-poT hote hain

jawan mujh par chalte hue mohabbaton ka izhaar aur iqrar karte hain
umr-rasida log dur dur tak phaile sabze ko dekh kar

dil ki ghuTan aur ehsas-e-ziyan bhul jate hain
main KHush hoti hun ki kisi ke kaam aa hi hun

lekin meri KHushi dukh aur sharmindagi mein badal jati hai
jab mere andar chhupe hue sanp insanon ko Das lete hain

sochti hun in sanpon ka kya ilaj karun
sochti hun in sanpon ka koi ilaj hai bhi ya nahin

sochti hun sanp mujhi mein to nahin chhupe
wo to zamin ke kone kone mein maujud hain

us ke andar bhi us ke bahar bhi
sochti hun jis tezi se sanpon ki tadad baDh rahi hai

kal ye sari zamin par na chha jaen
sochti hun koi sailab hi aa jae jo unhen baha le jae

phir KHayal aata hai ye bah kar jaenge kahan
aaKHir ek na ek din pani utrega aur ye dobara KHushki par chaDh aaenge

aur mere hi daman mein panah le lenge
sochti hun KHuda ne mujhe banaya tha to unhen kyun banaya

aur agar banaya hi tha to un ke andar zahar kyun bhar diya
kyun ho gae ye insan ke dushman

magar sare sanp to zahrile nahin hote
aur kya insanon ke andar bhi zahr nahin bharta ja raha hai ab

sochti hun insan sanp se Darta hai to
sanp bhi insan se Darta hai

insan ne sanp mein shaitan ki shakl dekhi thi
jis ne use jannat se nikalwa diya tha

insan ke andar shaitan se barabar utarne ki talab rakh di gai hai
jahan kahin sanp ko dekhta hai use marne ki koshish karta hai

sanp ko bhi insan ke us azli-o-abdi irade ki KHabar hai
isi liye to insan ki aahaT ya bu pate hi bhag khaDa hota hai

KHarabi to meri wajh se hoti hai
ghas mein chhupa sanp insan ko dekh kar bhagta hai

lekin insan use dekh nahin pata aur na-danista us ka panw sanp par paD jata hai
aur sanp apni jaan bachane ke liye use Das leta hai

yun main zariya ban jati hun insan ki maut ka
mujhe apna ye kirdar hargiz pasand nahin

sochti hun insanon aur sanpon ne aapas mein laDna hi hai to
meri aaD mein na laDen

saDkon par laDen gharon ke andar laDen
chaTyal maidanon mein laDen sahraon mein laDen

phir KHayal aata hai in jaghon par to pahle hi ghamsan ki laDai ho rahi hai
insan insan se laD raha hai

aur us ne tarah tarah ke
mohlik kimiyai jauhari aur nafsiyati hathiyar ijad kar liye hain

ek dusre ko dukh dene aur marne ke liye
sochti hun kahin insanon ne marne ka shauq to nahin pal liya

aur agar unhon ne marne hi ki Than li hai
to main kis chakkar mein un ka gham kha rahi hun

mujhe yahi fikr hai na ki zindagi arbon sal ke safar mein insan tak pahunchi hai
aur ab agar insanon ke hathon insan tabah ho gae

aur sath hi zamin barbaad ho gai to mein bhi mari jaungi
zindagi hi ruKHsat ho jaegi zamin se

phir KHayal aata hai main to zindagi ki bahut ibtidai surat hun
agar zindagi ka safar khoTa ho jaane ki is qadar fikr lahiq hai mujhe

to insan jo zindagi ka afzal-tarin namuna hain
wo ijtimai KHud-kushi ke raste par kyun chal nikle hain

sanpon se dushmani nibahte nibahte KHud sanp kyun ban gae hain
KHub-surat aur be-zarar sanp nahin

zahrile aur mohlik sanp jo ek dusre ko Das rahe hain
aur kuchh insan to daulat aur taqat sameT kar azhdahe ban gae hain

afsos to ye hai ki mare ziyaada-tar wo ja rahe hain jin ka koi qusur nahin hota
azdahon ki laDai mein chhoTe-moTe sanp

makkhiyon aur chiyunTiyon ki tarah pis kar rah jate hain
sochti hun kisi sailab ne zamin ko sanpon se pak bhi kar diya

to sanpon ki tarah phaTkarte insanon se kyunkar chhuTkara hoga
isi liye soch soch kar chup ho rahti hun

lekin ye chup andar hi andar mujhe khae jati hai
dekhiye mein pili paDti ja rahi hun

hare-bhare sabze se rukha-sukha ghas-phus banti ja rahi hun
aur zamin par sona bikharta ja raha hai

pahadiyan sone se damak uThi hain
magar insan un se be-niyaz

kaghzi sone ki talash mein
ek dusre ka gala kaTte hue

zamin par mare mare phir rahe hain
kash insan kaghzi sone se nigah uTha kar dekhte

ki jis sanp ko wo shaitan samajh kar marne dauDte hain
wo to hirs ki surat mein us ke dil mein ja baiTha hai

aur un ke apne hathon kaghaz ke chand TukDon ki KHatir
nasl-e-insani ko halak karwa raha hai

sochti hun aag ugalte sanpon ki tarah
kisi insan ki phunkar ne mujhe chingari dikha di

to jangal ke jangal jal kar rakh ho jaenge
insan ko to apni nau ki fikr nahin

wo zamin par aabaad zindagi ki dusri suraton ki kya parwa karega
kash use fursat hoti dekhne ki

ki jis ghas-phus ko wo be-dhyani mein jila Dalta hai
wo zamin ka libas hai

is zamin ka jis ne use pala tha
jo sari zindagi ki tarah us ki bhi man hai

aur ghas-phus ko jala kar wo apni man ko be-satr kar raha hai
lekin main ye kya pkhan le baiThi hun

main to apna taaruf kara rahi thi
aur apne andar chhupe sanpon ki baat kar rahi thi

aur chal paDi sanpon se insan ki taraf
insanon ki taraf jo sanpon ki taraf chal rahe hain

waise sanp bhi apne bachche kha jata hai
aur ab insan bhi apne bachche kha raha hai

aur main wahi ghas
mahw-e-yas udas