ata hui hai tujhe roz o shab ki betabi
KHabar nahin ki tu KHaki hai ya ki simabi!
suna hai KHak se teri numud hai lekin
teri sarisht mein hai kaukabi o mahtabi!
jamal apna agar KHwab mein bhi tu dekhe
hazar hosh se KHush-tar teri shakar-KHwabi
giran-baha hai tera girya-e-sahar-gahi
isi se hai tere naKHl-e-kuhan ki shadabi!
teri nawa se hai be-parda zindagi ka zamir
ki tere saz ki fitrat ne ki hai mizrabi!
Nazm
Farishte aadam ko jannat se ruKHsat karte hain
Allama Iqbal