اردو हिंदी
Ek alamat | Shaahi Shayari
ek alamat

Nazm

Ek alamat

Mustafa Zaidi

;

ghas se bach ke chalo ret ko gulzar kaho
narm kaliyon pe chaDha do gham-e-dauran ke ghilaf

KHud ko dil tham ke murghan-e-giraftar kaho
raat ko us ke tabassum se lipaT kar so jao

subh uTTho to use shahid-e-bazar kaho
zehn kya chiz hai jazbe ki haqiqat kya hai

farsh par baiTh ke tabligh ke ashaar kaho
isi raftar se chalta hai jahan-e-guzaran

inhi qadmon pe zamane ke qadam uThte hain
koi ainak se dikhata hai to hum dekhte hain

koi kandhon pe uThata hai to hum uThte hain
ek raqqasa-e-tannaz ki mahfil hai jahan

kabhi aate hain bhatije kabhi am uThte hain
kabhi ek gosha-e-tarik ke virane mein

kisi jugnu ke chamakne pe fughan hoti hai
kabhi is marhamat-e-KHas ka andaza nahin

kabhi do bund chhalakne pe fughan hoti hai
kabhi manzil ke tasawwur se jigar jalte hain

kabhi sahra mein bhaTakne pe fughan hoti hai
hum ne is chor ko sinon mein daba rakkha hai

hum isi chor ke KHatre se pareshan bhi hain
kaun samjhega ki is sath-e-KHush-awaz ke baad

usi Thahre hue talab mein tufan bhi hain
bhai ki aankh ke kanTe pe nazar hai sab ki

dewta bhi hain isi bazm mein insan bhi hain
KHatt-e-sartan se aati hai millar ki aawaz

aur america ke bazar mein kho jati hai
jais ki fikr ne tamir kya hai jis ko

wo zamin hasrat-e-meamar mein kho jati hai
kabhi manTo ka qalam ban ke dahakti hai hayat

kabhi sarmae ki talwar mein kho jati hai
har payambar pe hansa hai ye zamana lekin

har payambar ne jhukai hai zamane ki jabin
apne ham-asr se KHaif na ho ai waqt ki aanch

is ki miTTi mein sitaron ka dhuan hai ki nahin
isi miTTi se damakti hai ye dharti warna

durd-e-yak-saghar-e-ghaflat hai che duniya o che-din
jism ke dagh chhupana to koi baat nahin

ruh ke zaKHm sulagte hain pas-e-parda-e-dil
sar chhupa lete ho tum ret mein jis ke aage

isi tufan mein ghir jate hain lakhon sahil
ek rahi jise ehsas na hasrat na talab

ek safar jis mein na manzil na suragh-e-manzil
apni hassas subuk nak se rumal haTao

khad mein mahz taffun hi nahin KHez bhi hai
zauq darkar hai qatre ko guhar karne mein

ye mai-e-nab pur-asrar bhi hai tez bhi hai
kuchh to hai wajh-e-dil-azari-o-ahang-o-satez

warna ye tab-e-KHush-aKHlaq-o-kam-amez bhi hai
shahr ki tira-o-tarik guzargahon mein

dastan hogi to manTo ka qalam likkhega
zist qanun o faramin-e-qafas ke aage

be-zaban hogi to manTo ka qalam likkhega
is shifa-KHana-e-aKHlaq mein nashtar ke qarib

rag-e-jaan hogi to manTo ka qalam likkhega
gopi-nath aur zafar-shah ke jaise kirdar

kitni gumnami mein ji lete hain mar jate hain
kis ne un aankhon mein wo KHwab lahakte dekhe

jo is insanon ke jangal mein bikhar jate hain
kis ka aaina hai mozel ki us ruh ka aks

jis mein maryam ke hasin naqsh nikhar jate hain
ai nae asr ki rag rag ko samajhne wale

fahm-o-idrak badi hain to badi teri hai
chand lamhon ki KHudai hai riwayat ke sath

fan ke aadarsh ki ruh-e-abadi teri hai
maut ye sirf saadat ki hai manTo ki nahin

ye shab-o-roz tere hain ye sadi teri hai