main is KHayal mein tha bujh chuki hai aatish-e-dard
bhaDak rahi thi mere dil mein jo zamane se
main is KHayal mein tha ho chuki hai aag wo sard
wo ek shola-e-dard-afrin mata-e-hayat
main is KHayal mein tha main use bacha na saka
guman ye tha ki wo ek shoala-e-hayat-afroz
hawa-e-paris-o-london ki tab la na saka
main sochta tha ki shayad bhula chuka hun tujhe
jo apne dil ki kahani tujhe sunana thi
wo apne saz-e-ghazal par suna chuka hun tujhe
kuchh aisa mujh ko guman tha tufail-e-marham-e-waqt
koi bhi ghaw ho ek roz bhar hi jata hai
zamana waqt ke parde pe har ghaDi shayad
naya tilism nai dilkashi sajata hai
jo hain rafiq-e-dil-o-jaan un aansuon ki qasam
tere huzur abhi tak jo bar pa na sake
jinhen hai tujh se siwa teri aabru ka KHayal
jo dil mein ruk na sake aur mizha tak aa na saka
mila hun aaj main tujh se to waswase ye tamam
miTe KHayal ki duniya se misl-e-naqsh-bar-ab
pata chala ki wo shoala bujha nahin hai abhi
bas itni baat hai ab jal raha hai zer-e-naqab
naqab-e-waqt-o-masafat ke do dabiz hijab
guzar gai teri furqat mein zindagi jitni
adn ki subh ki paris ki raat mein guzri
dil o nazar ke kisi wardat mein guzri
ki ek hasina-e-alam se baat mein guzri
faqat wo ek nadamat hai aur kuchh bhi nahin
aur aaj meri nadamat ka ye shadid ehsas
har ek sans mein mujh se sawal karta hai
hawas hai ishq se kitne qadam? do-chaar qadam?
kiya hai fasla un mein kai hazar qadam?
piccadily mein bhi hum yaad the tujhe ki na the
pigalle mein bhi KHalish koi dil mein thi ki na thi
wo sham thames ki ab bhi nazar mein hai ki nahin
ki jab hawas ki nazar par koi hijab na tha
wo sath-e-bahr pe raqsan jahaz ka arsha
aur us pe chaar taraf ek nur ka aalam
ki jaise barq-e-tajalli-e-tur ka aalam
walentia mein wo raqs-e-barahnagi ke tilism
teri nigah-e-tamasha ko kuchh jhijak to na thi
ye ek sawal ki jis ke hazar pahlu hain
main ek lamhe ko jab in pe ghaur karta hun
to sochta hun ki main tujh se ab malun na malun
Nazm
Ehsas-e-nadamt
Jagan Nath Azad