main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai
wo bhagwan kahan hai
hasin chehre
phul aur kaliyan
jhumti shaKHen
daraKHt aashiyan
hariyali
nahren dariya sagar
unche unche kohsaron ki bulandiyan
nachne wale
hazar-ha rangin parinde
sham o sahar ko phulne wali shafaq
barkha-rut ki sat-rangi dhanak
suraj chand sitare
raaton ko jhilmilati kahkashan
jin ke dekhe se
bahal jaen dil
sukh paen paran
ab wo dil wo sukh un paranon ka
nam-o-nishan kahan hai
mein hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai
wo bhagwan kahan hai
be-hisab sadiyon ki aankhen
ek pal mein
an-ginat bar jhapakti palken
nazar na aane wali nazren
chhati se bachchon ko lipTae hue mataen
khanak-dar chuDiyon bhari kalaiyan
jin par dudh pilati mataon ki
jhuki hui sharmili aankhen
aanchalon mein chhupe hue nanhe nanhe baalak
chori chori mataon ka chehra taken
jawaniyon ke nainon se prit ke chalte ban
aaj us pyar bhare
jawan jiyon ka arman kahan hai
main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
wo insan kahan hai
aaj wo apni dharti apne jiwan ki barbaadi ki
tayyari mein
weyast hai masruf hai gum hai
bachchon ke komal badan ke TukDe
hathiyaron ke widhan ki jhaDiyon jangalon mein
la-waris lashen
jin ko
murdar-KHor peT bhare jaanwar
khae bina hi guzar jaen
phir khain kyunkar
koi batae
kitni ibaadat-gahen
mandir
masjid
girja ghar aur gurudware
kitni jaldi Dhae ja sakte hain
ya in sab ko halakaton ke saz aur aslahon ka
godam bana dena behtar hai
be-gunahon ka lahu zamin mein jazb nahin ho sakta
shayad kabhi nahin
koi batae
kab ye zamin dobara shola-zar banegi
kya koi nahin hai
koi nahin?
jo apni zamin ko zindagi ki jannat bana sake
ek insani taqat
himmat ek azm ke sath
des des mulkon mulkon
main insan ko lalkaronga
lekin main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai wo bhagwan kahan hai?
Nazm
Aaj insan kahan hai
Niyaz Haidar