zindagi KHak mein bhi thi tere diwane se
ab na uTThega bagula koi virane se
is qadar ho gai kasrat tere diwanon ki
qais ghabra ke chala shahr ko virane se
jal-mara aag mohabbat ki ise kahte hain
jalna dekha na gaya shama ka parwane se
kis ki begana-washi se ye tahayyur aaya
ki ab apne bhi nazar aate hain begane se
shaiKH sahab bhi hue motaqid-e-pir-e-mughan
aaj ye taza KHabar aai hai mai-KHane se
itni tauhin na kar meri bala-noshi ki
saqiya mujh ko na de map ke paimane se
ai 'wafa' apne bhi jab aankh chura lete hain
be-ruKHi ka ho gila kya kisi begane se
Ghazal
Zindagi KHak mein bhi thi tere diwane se
Mela Ram Wafa