ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai
ye shahr ab bhi usi bewafa ka lagta hai
ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali
wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai
dil un ke sath magar tegh aur shaKHs ke sath
ye silsila bhi kuchh ahl-e-riya ka lagta hai
nai girah nae naKHun nae mizaj ke qarz
magar ye pech bahut ibtida ka lagta hai
kahan main aur kahan faizan-e-naghma-o-ahang
karishma sab dar-o-bast-e-nawa ka lagta hai
Ghazal
Ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai
Iftikhar Arif