ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
makan hai qabr jise log KHud banate hain
main apne ghar mein hun ya main kisi mazar mein hun
dar-e-fasil khula ya pahaD sar se haTa
main ab giri hui galiyon ke marg-zar mein hun
bas itna hosh hai mujh ko ki ajnabi hain sab
ruka hua hun safar mein kisi dayar mein hun
main hun bhi aur nahin bhi ajib baat hai ye
ye kaisa jabr hai main jis ke iKHtiyar mein hun
'munir' dekh shajar chand aur diwaren
hawa KHizan ki hai sar par shab-e-bahaar mein hun
Ghazal
Ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
Muneer Niyazi