اردو हिंदी
Ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein | Shaahi Shayari
ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein

Ghazal

Ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein

Bashar Nawaz

;

ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein
jis husn se hai chand rawan nil-gagan mein

ai kash kabhi qaid bhi hota mere fan mein
wo naghma-e-dil-kash ki hai aawara pawan mein

uTh kar teri mahfil se ajab haal hua hai
dil apna bahalta hai na basti mein na ban mein

ek husn-e-mujassam ka wo pairahan-e-rangin
Dhal jae dhanak jaise kisi chandr-kiran mein

ai nikhat-e-awara zara tu hi bata de
hai tazgi phulon mein ki us shoKH ke tan mein

dekha tha kahan us ko hamein yaad nahin hai
taswir si phirti hai magar ab bhi nayan mein

is daur mein aasan to na thi aisi ghazal bhi
kuchh fan abhi zinda hai magar mulk-e-dakan mein