wo hawa na rahi wo chaman na raha wo gali na rahi wo hasin na rahe
wo falak na raha wo saman na raha wo makan na rahe wo makin na rahe
wo gulon mein gulon ki si bu na rahi wo azizon mein lutf ki KHu na rahi
wo hasinon mein rang-e-wafa na raha kahen aur ki kya wo hamin na rahe
na wo aan rahi na umang rahi na wo rindi o zohd ki jang rahi
su-e-qibla nigahon ke ruKH na rahe aur dar pe naqsh-e-jabin na rahe
na wo jam rahe na wo mast rahe na fidai-e-ahd-e-alast rahe
wo tariqa-e-kar-e-jahan na raha wo mashaghil-e-raunaq-e-din na rahe
hamein lakh zamana lubhae to kya nae rang jo charKH dikhae to kya
ye muhaal hai ahl-e-wafa ke liye gham-e-millat o ulfat-e-din na rahe
tere kucha-e-zulf mein dil hai mera ab use main samajhta hun dam-e-bala
ye ajib sitam hai ajib jafa ki yahan na rahe to kahin na rahe
ye tumhaare hi dam se hai bazm-e-tarab abhi jao na tum na karo ye ghazab
koi baiTh ke lutf uThaega kya ki jo raunaq-e-bazm tumhin na rahe
jo thin chashm-e-falak ki bhi nur-e-nazar wahi jin pe nisar the shams o qamar
so ab aisi miTi hain wo anjumanen ki nishan bhi un ke kahin na rahe
wahi suraten rah gain pesh-e-nazar jo zamane ko pheren idhar se udhar
magar aise jamal-e-jahan-ara jo the raunaq-e-ru-e-zamin na rahe
gham o ranj mein 'akbar' agar hai ghira to samajh le ki ranj ko bhi hai fana
kisi shai ko nahin hai jahan mein baqa wo ziyaada malul o hazin na rahe
Ghazal
Wo hawa na rahi wo chaman na raha wo gali na rahi wo hasin na rahe
Akbar Allahabadi