wahan ki raushniyon ne bhi zulm Dhae bahut
main us gali mein akela tha aur sae bahut
kisi ke sar pe kabhi TuT kar gira hi nahin
is aasman ne hawa mein qadam jamae bahut
na jaane rut ka tasarruf tha ya nazar ka fareb
kali wahi thi magar rang jhilmilae bahut
hawa ka ruKH hi achanak badal gaya warna
mahak ke qafile sahra ki samt aae bahut
ye kaenat hai meri hi KHak ka zarra
main apne dasht se guzra to bhed pae bahut
jo motiyon ki talab ne kabhi udas kiya
to hum bhi rah se kankar sameT lae bahut
bas ek raat Thaharna hai kya gila kije
musafiron ko ghanimat hai ye sarae bahut
jami rahegi nigahon pe tirgi din bhar
ki raat KHwab mein tare utar ke aae bahut
'shakeb' kaisi uDan ab wo par hi TuT gae
ki zer-e-dam jab aae the phaDphaDae bahut
Ghazal
Wahan ki raushniyon ne bhi zulm Dhae bahut
Shakeb Jalali